nila aasman
merī bachchī ne mujh se kal pūchhā
baabā ye āsmāñ hai niilā kyuuñ
maiñ ne sochā par us se kah na sakā
ye savāl us ke dil meñ aayā kyuuñ
kyuuñ ye bāteñ haiñ itnī dil-āvez
hai ye andāz itnā pyārā kyuuñ
kyuuñ haiñ lab par ye itne saare savāl
hai tabassum ye phuul jaisā kyuuñ
mere dil meñ udheḌ-bun kyā hai
maiñ sitāroñ se jā ke uljhā kyuuñ
sitam-añgez zindagī dil-kash
phir ye anjām-e-kār marnā kyuuñ
maiñ ne ye kyā javāb sochā hai
tum ne aisā savāl pūchhā kyuuñ
meri bachchi ne mujh se kal puchha
baba ye aasman hai nila kyun
main ne socha par us se kah na saka
ye sawal us ke dil mein aaya kyun
kyun ye baaten hain itni dil-awez
hai ye andaz itna pyara kyun
kyun hain lab par ye itne sare sawal
hai tabassum ye phul jaisa kyun
mere dil mein udheD-bun kya hai
main sitaron se ja ke uljha kyun
sitam-angez zindagi dil-kash
phir ye anjam-e-kar marna kyun
main ne ye kya jawab socha hai
tum ne aisa sawal puchha kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.