nili gard ka zamzam
maiñ taḳhayyul ke tashaddud kā shikār
dekhtā huuñ āsmāñ se saaya saaya chīthḌe girte hue
sun rahā huuñ
faḌfaḌātī dhuup kī piilī sadā
dard kī būḌhī chuḌeleñ
aañkh ke sahrā meñ apnī retlī āvāz meñ sab ko pukāreñ
aao aao
maiñ akelā apne sannāTe meñ gird-o-pesh ke āshob meñ khoyā huā
chal rahā huuñ
rāste ke sañg-reze aañkh se chunte hue
taaki pathrā.ī huī mar mar kī saḌkeñ rafta rafta mere paañv chaaT leñ
chal rahā huuñ
jaane kis jānib mujhe jaanā hai kyuuñ jaanā hai
shāyad fāsloñ kī intihā uftādgī hai
aur shāyad manzileñ is vāhime kī maut kī manzar haiñ
jo taaza lahū ke ā.īne kā aks hai
aur kyā mālūm ye bhī vāhima ho
kaash koī lafz apnī band muTThī khol de
aur kāġhaz par bichhī satroñ kā jaal
mujh pe chāroñ samt se aa kar gire
kyā ḳhabar āzād ho jā.ūñ vadaq riit ke kohrām se
chīḳhtī chīleñ zamīñ se saaya saaya chīthaḌoñ ko le uḌeñ
aur maiñ miTTī kī nañgī god meñ leTe hue
āsmāñ ko apne uupar oḌh luuñ
main taKHayyul ke tashaddud ka shikar
dekhta hun aasman se saya saya chithDe girte hue
sun raha hun
faDfaDati dhup ki pili sada
dard ki buDhi chuDelen
aankh ke sahra mein apni retli aawaz mein sab ko pukaren
aao aao
main akela apne sannaTe mein gird-o-pesh ke aashob mein khoya hua
chal raha hun
raste ke sang-reze aankh se chunte hue
taki pathrai hui mar mar ki saDken rafta rafta mere panw chaT len
chal raha hun
jaane kis jaanib mujhe jaana hai kyun jaana hai
shayad faslon ki intiha uftadgi hai
aur shayad manzilen is wahime ki maut ki manzar hain
jo taza lahu ke aaine ka aks hai
aur kya malum ye bhi wahima ho
kash koi lafz apni band muTThi khol de
aur kaghaz par bichhi satron ka jal
mujh pe chaaron samt se aa kar gire
kya KHabar aazad ho jaun wadaq rit ke kohram se
chiKHti chilen zamin se saya saya chithaDon ko le uDen
aur main miTTi ki nangi god mein leTe hue
aasman ko apne upar oDh lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.