nili jild ki kitab
mere ghar meñ jhoñj banā.e gaurayyā kā joḌā
choñch meñ le kar aa.e jaa.e bhūsa thoḌā thoḌā
bhūse meñ kuchh tinke bhī haiñ kuchh maTiyāle par
niile piile ujle maile bhūre kaale par
bāġhoñ bāġhoñ ho kar aa.e apnā ghar na bhūle
pahle vo rassī par baiThe pal bhar jhūlā jhūle
phir almārī meñ uḌ kar jaa.e sīdhe apne kone
ġhālib kā dīvān chunā hai rahne ko in do ne
niilī niilī jild pe jaise phuul rakhā ho koī
yā kāġhaz ko raat samajh kar chāñd ugā ho koī
qismat vaale Thahre un ke laal gulābī panje
urdu kā ik shā.er aayā un ke paañv ke nīche
chāñdī jaise taḳht pe so kar guzrīñ rāteñ un kī
'ġhālib'-sāhib sunte hoñge shāyad bāteñ un kī
maazī kī buniyād pe rakkhā hai mustaqbil sab kā
aane vaale daur meñ logo aTkā hai dil sab kā
gaurayyā ke in ḳhvāboñ ko kaise toḌā jaa.e
koī nusḳha aur mañgā leñ is ko chhoḌā jaa.e
mere ghar mein jhonj banae gaurayya ka joDa
chonch mein le kar aae jae bhusa thoDa thoDa
bhuse mein kuchh tinke bhi hain kuchh maTiyale par
nile pile ujle maile bhure kale par
baghon baghon ho kar aae apna ghar na bhule
pahle wo rassi par baiThe pal bhar jhula jhule
phir almari mein uD kar jae sidhe apne kone
ghaalib ka diwan chuna hai rahne ko in do ne
nili nili jild pe jaise phul rakha ho koi
ya kaghaz ko raat samajh kar chand uga ho koi
qismat wale Thahre un ke lal gulabi panje
urdu ka ek shaer aaya un ke panw ke niche
chandi jaise taKHt pe so kar guzrin raaten un ki
'ghaalib'-sahib sunte honge shayad baaten un ki
mazi ki buniyaad pe rakkha hai mustaqbil sab ka
aane wale daur mein logo aTka hai dil sab ka
gaurayya ke in KHwabon ko kaise toDa jae
koi nusKHa aur manga len is ko chhoDa jae
- Book : Agar Darya Mila Hota (Pg. 166)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.