nili qindil
hamārā ruj.hān yaqīnan harāmī-an tak jā chukā hai
hamāre saroñ par ḳhauf musallat ho rahā hai
kyā ham junūn kī had jāgte hue jazbāt nahīñ bak rahe
vāqa.ī hamārī bedārī
ek sochī-samjhī sāzish hai
ham ne junūn kī had tak ishq kiyā
ham ne junūn kī had tak mubāsharat kā lutf liyā
ab hameñ hamārā hī kal jhiñjhoḌ rahā hai
use kaise alag kareñ
be-fikr be-ḳhauf kutte haDDiyoñ par laḌte hue
ab hamārī taraf lapak rahe haiñ
us ke muñh se girtā huā safed jhaag
zamīn ko tarī pahuñchā chukā
aur isī tar hotī zamīn se ek nāzuk paudā
uug kar
bahut saare pighalte hue savāloñ
ke javāb
nā-qābil-e-yaqīn sachchā.ī ke dosh par
pTriyoñ ke hare hare pattoñ
kī ḳhāmosh chhāñv meñ phisalte jā.eñge
hamara rujhan yaqinan harami-an tak ja chuka hai
hamare saron par KHauf musallat ho raha hai
kya hum junun ki had jagte hue jazbaat nahin bak rahe
waqai hamari bedari
ek sochi-samjhi sazish hai
hum ne junun ki had tak ishq kiya
hum ne junun ki had tak mubasharat ka lutf liya
ab hamein hamara hi kal jhinjhoD raha hai
use kaise alag karen
be-fikr be-KHauf kutte haDDiyon par laDte hue
ab hamari taraf lapak rahe hain
us ke munh se girta hua safed jhag
zamin ko tari pahuncha chuka
aur isi tar hoti zamin se ek nazuk pauda
ug kar
bahut sare pighalte hue sawalon
ke jawab
na-qabil-e-yaqin sachchai ke dosh par
pTriyon ke hare hare patton
ki KHamosh chhanw mein phisalte jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.