nind aae to
ḳhauf-nāk jañgal meñ jā.ūñ
saañp maar ke kachchā khā.ūñ
nāchūñ
gā.ūñ
shor machā.ūñ
nañgī kaalī habshin ko
aañkh maar ke paas bulā.ūñ
moTe bhadde hoñToñ kā
lambā tagḌā bosa luuñ
baḌe baḌe pistānoñ par
sar rakh kar
gahrī niiñd meñ so jā.ūñ
aañkh khule to
habshī ke neze kī nok
chhātī meñ chubhtī pā.ūñ
nañgī kaalī habshan kī
phaTī-phaTī bhūkī āñkhoñ meñ
ek se do ho jā.ūñ
KHauf-nak jangal mein jaun
sanp mar ke kachcha khaun
nachun
gaun
shor machaun
nangi kali habshin ko
aankh mar ke pas bulaun
moTe bhadde honTon ka
lamba tagDa bosa lun
baDe baDe pistanon par
sar rakh kar
gahri nind mein so jaun
aankh khule to
habshi ke neze ki nok
chhati mein chubhti paun
nangi kali habshan ki
phaTi-phaTi bhuki aankhon mein
ek se do ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.