nind
ai mirī pyārī ammāñ aanā
nindiyā aa.ī mujh ko sulānā
sust haiñ a.azā mere saare
āñkheñ band haiñ niiñd ke maare
khānā piinā bāteñ karnā
kuchh bhī mujh ko ab nahīñ bhātā
ammāñ merā bistar laanā
niiñd aa.ī hai mujh ko sulānā
jaldī phir uThnā hai mujh ko
der na maktab jaane meñ ho
sub.h ko jis dam so ke uThūñgā
apne khilaune tum se lūñgā
bhaa.ī jaan ab tum bhī aao
apne bistar par so jaao
raat hai sone hī ko banā.ī
so raho tum bhī 'jauhar' bhaa.ī
ai meri pyari amman aana
nindiya aai mujh ko sulana
sust hain aaza mere sare
aankhen band hain nind ke mare
khana pina baaten karna
kuchh bhi mujh ko ab nahin bhata
amman mera bistar lana
nind aai hai mujh ko sulana
jaldi phir uThna hai mujh ko
der na maktab jaane mein ho
subh ko jis dam so ke uThunga
apne khilaune tum se lunga
bhai jaan ab tum bhi aao
apne bistar par so jao
raat hai sone hi ko banai
so raho tum bhi 'jauhar' bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.