nind
raat ḳhūb-sūrat hai
niiñd kyuuñ nahīñ aatī
din kī ḳhashm-gīñ nazreñ
kho ga.iiñ siyāhī meñ
āhanī kaḌoñ kā shor
beḌiyoñ kī jhankāreñ
qaidiyoñ kī sāñsoñ kī
tund-o-tez āvāzeñ
jelaroñ kī badkārī
gāliyoñ kī bauchhāreñ
bebasī kī ḳhāmoshī
ḳhāmushī kī fariyādeñ
tah-nashīñ añdhere meñ
shab kī shoḳh doshīza
ḳhār-dār tāroñ ko
āhanī hisāroñ ko
paar kar ke aa.ī hai
bhar ke apne āñchal meñ
jañgaloñ kī ḳhushbueñ
ThanDkeñ pahāḌoñ kī
mere paas laa.ī hai
nīl-gūñ javāñ siina
kahkashāñ kī peshānī
niim chāñd kā joḌā
maḳhmalīñ añdhere kā
pairahan laraztā hai
vaqt kī siyah zulfeñ
ḳhāmushī ke shānoñ par
ḳham-ba-ḳham mahaktī haiñ
aur zamīñ ke hoñToñ par
narm shabnamī bose
motiyoñ ke dāñtoñ se
khilkhilā ke hañste haiñ
raat ḳhūb-sūrat hai
niiñd kyuuñ nahīñ aatī
raat peñg letī hai
chāñdnī ke jhūle meñ
āsmān par taare
nanhe nanhe hāthoñ se
bun rahe haiñ jaadū sā
jhīñguroñ kī āvāzeñ
kah rahī haiñ afsāna
duur jel ke bāhar
baj rahī hai shahnā.ī
rail apne pahiyoñ se
loriyāñ sunātī hai
raat ḳhūb-sūrat hai
niiñd kyuuñ nahīñ aatī
roz raat ko yūñhī
niiñd merī āñkhoñ se
bevafā.ī kartī hai
mujh ko chhoḌ kar tanhā
jel se nikaltī hai
bamba.ī kī bastī meñ
mere ghar kā darvāza
jā ke khaTkhaTātī hai
ek nanhe bachche kī
añkhḌiyoñ ke bachpan meñ
mīThe mīThe ḳhvāboñ kā
shahad ghol detī hai
ik hasīñ parī ban kar
loriyāñ sunātī hai
pālnā hilātī hai
raat KHub-surat hai
nind kyun nahin aati
din ki KHashm-gin nazren
kho gain siyahi mein
aahani kaDon ka shor
beDiyon ki jhankaren
qaidiyon ki sanson ki
tund-o-tez aawazen
jelaron ki badkari
galiyon ki bauchhaaren
bebasi ki KHamoshi
KHamushi ki fariyaaden
tah-nashin andhere mein
shab ki shoKH doshiza
KHar-dar taron ko
aahani hisaron ko
par kar ke aai hai
bhar ke apne aanchal mein
jangalon ki KHushbuen
ThanDken pahaDon ki
mere pas lai hai
nil-gun jawan sina
kahkashan ki peshani
nim chand ka joDa
maKHmalin andhere ka
pairahan larazta hai
waqt ki siyah zulfen
KHamushi ke shanon par
KHam-ba-KHam mahakti hain
aur zamin ke honTon par
narm shabnami bose
motiyon ke danton se
khilkhila ke hanste hain
raat KHub-surat hai
nind kyun nahin aati
raat peng leti hai
chandni ke jhule mein
aasman par tare
nanhe nanhe hathon se
bun rahe hain jadu sa
jhinguron ki aawazen
kah rahi hain afsana
dur jel ke bahar
baj rahi hai shahnai
rail apne pahiyon se
loriyan sunati hai
raat KHub-surat hai
nind kyun nahin aati
roz raat ko yunhi
nind meri aankhon se
bewafai karti hai
mujh ko chhoD kar tanha
jel se nikalti hai
bambai ki basti mein
mere ghar ka darwaza
ja ke khaTkhaTati hai
ek nanhe bachche ki
ankhDiyon ke bachpan mein
miThe miThe KHwabon ka
shahad ghol deti hai
ek hasin pari ban kar
loriyan sunati hai
palna hilati hai
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 72)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.