niiñd aanī ho to aa jaatī hai
tez pañkhā ho yā bahut dhīmā
sard mausam ho yā bahut garmī
haath siine pe ho ki sir ke tale
ho añdherā yā raushnī tīkhī
raat ho din ho shor yā chuppī
saḳht bistar ho silvaToñ vaalā
aañkh jaltī ho bure sapnoñ se
sar pe mañDlātī ho kaalī chhāyā
niiñd aanī ho to aa jaatī hai
aur jab niiñd nahīñ aanī ho
saare ārām reshmī bistar
loriyāñ gaatī huī muñd havā
sab dhare ke dhare rah jaate haiñ
kaam kartī hai davā aur na duā
niiñd kī vādiyoñ se duur kahīñ
palkeñ karvaT badaltī rahtī haiñ
band āñkhoñ ko chiir kar jaise
nazreñ kuchh DhūñDhtī sī rahtī haiñ
jab kabhī niiñd nahīñ aanī ho!
''nīñd ik nāznīñ se kam to nahīñ'' aa.ii, aa.ī kabhī nahīñ aa.ii!
nind aani ho to aa jati hai
tez pankha ho ya bahut dhima
sard mausam ho ya bahut garmi
hath sine pe ho ki sir ke tale
ho andhera ya raushni tikhi
raat ho din ho shor ya chuppi
saKHt bistar ho silwaTon wala
aankh jalti ho bure sapnon se
sar pe manDlati ho kali chhaya
nind aani ho to aa jati hai
aur jab nind nahin aani ho
sare aaram reshmi bistar
loriyan gati hui mund hawa
sab dhare ke dhare rah jate hain
kaam karti hai dawa aur na dua
nind ki wadiyon se dur kahin
palken karwaT badalti rahti hain
band aankhon ko chir kar jaise
nazren kuchh DhunDhti si rahti hain
jab kabhi nind nahin aani ho!
nind ek naznin se kam to nahin aai, aai kabhi nahin aai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.