nind ke liye nazm
raat kī āñkheñ kaalī kaalī
palak jhapakte sapne
niiñd kī lahreñ sotī jāgtī
āñkhoñ meñ jab aa.eñ
kānā-phūsī kartī havā.eñ
jañgal par lahrā.eñ
mad-hoshī phailā.eñ
rūThe rūThe ḳhvāb hamāre
hote haiñ jab apne
nannhī nannhī āñkhoñ meñ hai
chanchal raat kā jaadū
har patte par jugnū chamkeñ
chhan-chhan karte ghuñghrū
ḳhāmoshī hai har sū
mīThī niiñd meñ pañkh-pakherū
lagte haiñ sab bahne
raat kī āñkheñ kaalī kaalī
palak jhapakte sapne
raat ki aankhen kali kali
palak jhapakte sapne
nind ki lahren soti jagti
aankhon mein jab aaen
kana-phusi karti hawaen
jangal par lahraen
mad-hoshi phailaen
ruThe ruThe KHwab hamare
hote hain jab apne
nannhi nannhi aankhon mein hai
chanchal raat ka jadu
har patte par jugnu chamken
chhan-chhan karte ghunghru
KHamoshi hai har su
miThi nind mein pankh-pakheru
lagte hain sab bahne
raat ki aankhen kali kali
palak jhapakte sapne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.