nind
niiñd mīThī niiñd āñkhoñ meñ bharī hai
dhuñd meñ har chiiz Duubī jā rahī hai
pāniyoñ par jaise bahtā jā rahā huuñ
sāhiloñ se duur hotā jā rahā huuñ
dekhā an-dekhā sā kuchh rañg-e-ḳhalā hai
ek be āvāz āvāz huā hai
rishta-e-rañg-o-sadā se kaT gayā huuñ
dhuñd gahrī aur gahrī ho ga.ī hai
ik purānī guuñj dil meñ gūñjtī hai
duur kī ik shakl ab paas aa rahī hai
nind miThi nind aankhon mein bhari hai
dhund mein har chiz Dubi ja rahi hai
paniyon par jaise bahta ja raha hun
sahilon se dur hota ja raha hun
dekha an-dekha sa kuchh rang-e-KHala hai
ek be aawaz aawaz hua hai
rishta-e-rang-o-sada se kaT gaya hun
dhund gahri aur gahri ho gai hai
ek purani gunj dil mein gunjti hai
dur ki ek shakl ab pas aa rahi hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 561)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.