nind kyun nahin aati
raat ḳhāmushī le kar
jhūltī hai peḌoñ par
dasht dasht vīrāñ haiñ
raushnī ke hañgāme
tīrgī barastī hai
ūñche nīche Tīloñ par
niiñd kyuuñ nahīñ aatī
maiñ udaas rahtā huuñ
din ke garm mele meñ
maiñ malūl rahtā huuñ
shaam ke jhamele meñ
maiñ sharāb pī kar bhī
hoshiyār rahtā huuñ
jo bhī dil pe lag jaa.e
maiñ vo zaḳhm sahtā huuñ
sochtā huuñ duniyā meñ
maiñ bhī kitnā tanhā huuñ
chāñdnī ke pahlū meñ
dil navāz kirnoñ ko
oḌh kar maiñ leTā huuñ
niiñd kyuuñ nahīñ aatī
niiñd ek ḳhushbū hai
raat kī fazāoñ meñ
kū-ba-kū bhaTaktī hai
mere ghar nahīñ aatī
mujh se duur rahtī hai
phir maiñ ḳhud se kahtā huuñ
niiñd kyuuñ nahīñ aatī
raat KHamushi le kar
jhulti hai peDon par
dasht dasht viran hain
raushni ke hangame
tirgi barasti hai
unche niche Tilon par
nind kyun nahin aati
main udas rahta hun
din ke garm mele mein
main malul rahta hun
sham ke jhamele mein
main sharab pi kar bhi
hoshiyar rahta hun
jo bhi dil pe lag jae
main wo zaKHm sahta hun
sochta hun duniya mein
main bhi kitna tanha hun
chandni ke pahlu mein
dil nawaz kirnon ko
oDh kar main leTa hun
nind kyun nahin aati
nind ek KHushbu hai
raat ki fazaon mein
ku-ba-ku bhaTakti hai
mere ghar nahin aati
mujh se dur rahti hai
phir main KHud se kahta hun
nind kyun nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.