nind
ye kis paikar kī rañgīnī simaT kar dil meñ aatī hai
mirī be-kaif tanhā.ī ko yuuñ rañgīñ banātī hai
ye kis kī jumbish-e-mizhgāñ raubāb-e-dil ko chhūtī hai
ye kis ke pairahan kī sarsarāhaT gungunātī hai
mirī āñkhoñ meñ kis kī shoḳhī-e-lab kā tasavvur hai
ki jis ke kaif se āñkhoñ meñ merī niiñd aatī hai
sukūt aur shāñtī ke har qadam par phuul barsātī
asīr-e-kākul-e-shab-gūñ banā kar muskurātī hai
mirī āñkhoñ meñ ghul jaatī hai vo kaif-e-nazar ban kar
mujhe qaus-e-quzah kī chhāñv meñ pahroñ sulātī hai
sahar tak vo mujhe chimTā.e rakhtī hai kaleje se
dabe paañv kiran ḳhurshīd kī aa kar jagātī hai
ye kis paikar ki rangini simaT kar dil mein aati hai
meri be-kaif tanhai ko yun rangin banati hai
ye kis ki jumbish-e-mizhgan raubab-e-dil ko chhuti hai
ye kis ke pairahan ki sarsarahaT gungunati hai
meri aankhon mein kis ki shoKHi-e-lab ka tasawwur hai
ki jis ke kaif se aankhon mein meri nind aati hai
sukut aur shanti ke har qadam par phul barsati
asir-e-kakul-e-shab-gun bana kar muskuraati hai
meri aankhon mein ghul jati hai wo kaif-e-nazar ban kar
mujhe qaus-e-quzah ki chhanw mein pahron sulati hai
sahar tak wo mujhe chimTae rakhti hai kaleje se
dabe panw kiran KHurshid ki aa kar jagati hai
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 124)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.