nind nahin aati hai
tum ne likkhā hai
niiñd nahīñ aatī hai tum ko
tum se bahut hī duur huuñ nā maiñ
is dhartī se
us dhartī tak
beach meñ kitne dariyā aur samundar hoñge
ye to sach hai
lekin un maaoñ kā socho
jin ke beTe
chāñd talak ik din jā.eñge
jā ke vahāñ par bas jā.eñge
aise meñ
jab raat aa.egī
chāñd zamīñ par niklā hogā
chāñd meñ un kā chehra hogā
lekin un ke ghar kā āñgan
kitnā suunā suunā hogā
darvāzoñ par ḳhāmoshī kā pahra hogā
āñkhoñ meñ vīrānī hogī
dil meñ bhī sannāTā hogā
raat aa.egī
aur āñkhoñ se
niiñd kī pariyāñ rūThī hoñgī
vo bas chāñd ko dekhtī hoñgī
jāgtī hoñgī
un maaoñ ke baare meñ bhī
kuchh to socho
shāyad tum ko niiñd aa jaa.e
maiñ to itnī duur nahīñ huuñ
maiñ to yahīñ par hī bastā huuñ
saañs yahīñ par hī letā huuñ
maiñ to zamīñ par hī rahtā huuñ
tum ne likkha hai
nind nahin aati hai tum ko
tum se bahut hi dur hun na main
is dharti se
us dharti tak
beach mein kitne dariya aur samundar honge
ye to sach hai
lekin un maon ka socho
jin ke beTe
chand talak ek din jaenge
ja ke wahan par bas jaenge
aise mein
jab raat aaegi
chand zamin par nikla hoga
chand mein un ka chehra hoga
lekin un ke ghar ka aangan
kitna suna suna hoga
darwazon par KHamoshi ka pahra hoga
aankhon mein virani hogi
dil mein bhi sannaTa hoga
raat aaegi
aur aankhon se
nind ki pariyan ruThi hongi
wo bas chand ko dekhti hongi
jagti hongi
un maon ke bare mein bhi
kuchh to socho
shayad tum ko nind aa jae
main to itni dur nahin hun
main to yahin par hi basta hun
sans yahin par hi leta hun
main to zamin par hi rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.