nind-pari
nīñd-parī ik aatī hai
bachchoñ ko bahlātī hai
duur chalī jaatī hai kabhī
paas kabhī aa jaatī hai
pukkū kukkū pappū ko
ḳhuub hī vo phuslātī hai
dhīmī dhīmī lai meñ phir
giit surīle gaatī hai
dhīre dhīre sone kā
rangīñ jaal bichhātī hai
us ke andar bachchoñ ko
phir le kar so jaatī hai
nind-pari ek aati hai
bachchon ko bahlati hai
dur chali jati hai kabhi
pas kabhi aa jati hai
pukku kukku pappu ko
KHub hi wo phuslati hai
dhimi dhimi lai mein phir
git surile gati hai
dhire dhire sone ka
rangin jal bichhati hai
us ke andar bachchon ko
phir le kar so jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.