nind se chaunko
Interesting Fact
Derived from Kulliyat-e-Shad, Part-3
gahrī niiñd se sone vaalo
vaqt ko apne khone vaalo
raat kaTī kuchh tum ko ḳhabar hai
chauñko chauñko vaqt-e-sahar hai
chāñd kī rangat ho ga.ī mailī
dekho chamak sūraj kī phailī
chalte haiñ jhoñke sard havā ke
jhuum rahe haiñ phuul itrā ke
koyaleñ kūkeñ kū kū kū kū
yaahū bole yaahū yaahū
niiñd se chauñkeñ pankh pakherū
bol rahe haiñ shāḳhoñ pe har sū
bhūle hue haiñ is dam sab dhun
laal pukāre summun bukmun
khil ga.iiñ kaliyāñ baaġh kī saarī
chaar taraf haiñ nahreñ jaarī
go ki abhī tak kuchh hai añdherā
chiḌiyāñ lene aa.iiñ baserā
gaa.eñ duub ko charne aa.iiñ
bhaiñsoñ ne apnī shakleñ dikhā.īñ
ruk gayā is dam bahtā dariyā
duur talak shaffāf hai sahrā
uTTho uTTho ahmad uTTho
muñh ko dho kar kapḌe pahan lo
sair karo maidāñ kī nikal kar
phuul ko dekho baaġh meñ chal kar
vaqt ko khonā zulm hai pyāre
sun ye nasīhat dost hamāre
gahri nind se sone walo
waqt ko apne khone walo
raat kaTi kuchh tum ko KHabar hai
chaunko chaunko waqt-e-sahar hai
chand ki rangat ho gai maili
dekho chamak suraj ki phaili
chalte hain jhonke sard hawa ke
jhum rahe hain phul itra ke
koyalen kuken ku ku ku ku
yahu bole yahu yahu
nind se chaunken pankh pakheru
bol rahe hain shaKHon pe har su
bhule hue hain is dam sab dhun
lal pukare summun bukmun
khil gain kaliyan bagh ki sari
chaar taraf hain nahren jari
go ki abhi tak kuchh hai andhera
chiDiyan lene aain basera
gaen dub ko charne aain
bhainson ne apni shaklen dikhain
ruk gaya is dam bahta dariya
dur talak shaffaf hai sahra
uTTho uTTho ahmad uTTho
munh ko dho kar kapDe pahan lo
sair karo maidan ki nikal kar
phul ko dekho bagh mein chal kar
waqt ko khona zulm hai pyare
sun ye nasihat dost hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.