nind sitare
bistar oḌhe ḳhvāb paḌā hai
ThanDak apne sar ko jhukā.e kambal meñ bhī kaañp rahī hai
niiñd sitāroñ par jā baiThī
maiñ chaukhaT se Tek lagā.e
āñkheñ mūñde
biitī yādoñ ke malbe par
gahrī andhī bhīgī shab meñ
guzrī kal kī biptā kahtī
shoḳh havā se aañkh churā ke
apne nam-dīda āñchal par
niiñd sitāre Taañk rahī huuñ
bistar oDhe KHwab paDa hai
ThanDak apne sar ko jhukae kambal mein bhi kanp rahi hai
nind sitaron par ja baiThi
main chaukhaT se Tek lagae
aankhen munde
biti yaadon ke malbe par
gahri andhi bhigi shab mein
guzri kal ki bipta kahti
shoKH hawa se aankh chura ke
apne nam-dida aanchal par
nind sitare Tank rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.