nindiya aankhon mein aa
nindiyā āñkhoñ meñ aa
nindiyā āñkhoñ meñ aa
in meñ kaliyāñ in meñ ḳhushbū in meñ hai ras bharā
nindiyā āñkhoñ meñ aa
in meñ hai chāñdnī
in meñ hai raushnī
in meñ taare in meñ jugnū in meñ hai ik diyā
nindiyā āñkhoñ meñ aa
āñkhoñ kī raah se
tū aa jā chaah se
in āñkhoñ se dil tak jaa.e chāhat kā rāsta
nindiyā āñkhoñ meñ aa
āñkhoñ meñ chain hai
āñkhoñ meñ pyaar hai
in meñ ammī in meñ abbū in meñ ghar tirā
nindiyā āñkhoñ meñ aa
nindiya aankhon mein aa
nindiya aankhon mein aa
in mein kaliyan in mein KHushbu in mein hai ras bhara
nindiya aankhon mein aa
in mein hai chandni
in mein hai raushni
in mein tare in mein jugnu in mein hai ek diya
nindiya aankhon mein aa
aankhon ki rah se
tu aa ja chah se
in aankhon se dil tak jae chahat ka rasta
nindiya aankhon mein aa
aankhon mein chain hai
aankhon mein pyar hai
in mein ammi in mein abbu in mein ghar tera
nindiya aankhon mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.