nirali raaten
kālī, jagmagātī, nirālī rāteñ
ras bharī, madmātī rāteñ
raat kī raanī ḳhushbū se bharī
tāroñ kī maddham nūrānī chhāñv meñ
halkī ThanDī rāteñ
baisākhī havāoñ
''sārañgī kī lambī alkaskī siskiyoñ''
pyaar ke rāzoñ se bojhal
kahānī rāteñ
kahāñ kho ga.iiñ haiñ yā-rab?
kho jaa.eñ
to phir kho jaa.eñ
lekin vo man-mohak ghaḌiyāñ
ḳhuun meñ jaise ghul sī ga.ī haiñ
vo laḌkhaḌāte, adhūre, nā-mukammal jumle
ab bhī saaf sunā.ī dete haiñ
abaruoñ palkoñ māthe kī shiknoñ ke
bāñke tirchhe pal pal badalte zāvi.e
jo kyā kyā kuchh kahte the
dikhā.ī dete haiñ
vo nit-na.ī anokhī be-intihā ḳhushiyāñ
maujūd bhī haiñ zinda bhī
lekin dard-o-alam kī maujeñ ban kar
dil ke goshe goshe meñ phail ga.ī haiñ
ye to sunā hai zahr kabhī amrit ban jaatā hai
lekin jab amrit ḳhud zahrīlā ho jaa.e
phir āḳhir koī kaise jiye?
kali, jagmagati, nirali raaten
ras bhari, madmati raaten
raat ki rani KHushbu se bhari
taron ki maddham nurani chhanw mein
halki ThanDi raaten
baisakhi hawaon
sarangi ki lambi alkaski siskiyon
pyar ke raazon se bojhal
kahani raaten
kahan kho gain hain ya-rab?
kho jaen
to phir kho jaen
lekin wo man-mohak ghaDiyan
KHun mein jaise ghul si gai hain
wo laDkhaDate, adhure, na-mukammal jumle
ab bhi saf sunai dete hain
abaruon palkon mathe ki shiknon ke
banke tirchhe pal pal badalte zawie
jo kya kya kuchh kahte the
dikhai dete hain
wo nit-nai anokhi be-intiha KHushiyan
maujud bhi hain zinda bhi
lekin dard-o-alam ki maujen ban kar
dil ke goshe goshe mein phail gai hain
ye to suna hai zahr kabhi amrit ban jata hai
lekin jab amrit KHud zahrila ho jae
phir aaKHir koi kaise jiye?
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 153)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.