nirmal miThe pani ki talash
vo mirā vahm
ki jhoñkā sā koī sabz-qabā thā
jise dekhā
kisī chahkār kī ḳhunkī bhī fazā meñ jo bikhartī
to ye khultā
ki abhī khoj hai āġhāz abhī khoj hai parvāz
kabhī yuuñ bhī to hotā hai ki ho khoj yahī
raakh kī muTThī meñ dabī adh-jalī pattī
vahī ma.amūl-e-shab-o-roz
ki bedād hī bedād hai
randā jo lagātār rahe phertā apnā
tauba har zāviya hamvār
ba-har zāviya chhil chhil ke gavārā
kahīñ ho jaa.e na be-sāḳhta fariyād
ye dhaḌkā sā banā rahtā hai dil meñ
vo tane TuuT rahe haiñ
jo qadam the jo bharam the
ki koī lafz na paayā na kisī lafz kā mafhūm
jo paanī kā badal ho
vo tane chhān ke ḳhāmosh taheñ ḳhaak kī
ḳhāmosh taheñ āñsū-e-aflāk kī
lauT aa.e vahīñ
apnī sisaktī huī paimūda hadoñ meñ
yahī āsār fazāoñ ke khule-pan se mozāhim
jo guzargāh meñ sailāb kī hote
to kisī moḌ par muḌte hue
shabnam kā nam-o-narm bichhaunā unheñ miltā
to do sad resha anāsir vo gale biij
zarā der ko ho jaate vahīñ Dher maze meñ
kaf-e-sailāb meñ uljhe hue ḳhāshāk meñ poshīda
vo juḌ juḌ ke baham
chain se sote
ki abhī der hai elān-e-sahar hone meñ
elān-e-sahar pahle sune jo bhī sahar-ḳhez
vo auroñ ko bhī jaag uThne kā
paimān-e-farāmosh shuda
yaad dilā.e
yahī kaliyoñ ke tabassum meñ ghulī yād-dahānī
jo ThiThur jaa.e samā.at
to samā.at ke liye ek anokhī sā dhamāka
ye mirā vahm shagūnī mirī zanjīr
koī añdhkār utar aa.e jo pāyāb gumānoñ meñ
to pāyāb gumānoñ meñ
utar aatī hai gahrā.ī yaqīñ sī
koī sayyāh sī sayārsī jhalkār utar aa.e
jo Thahre hue paanī meñ
to Thahre hue paanī meñ
ravānī kī mushāhid
mirī āshufta-nigāhī
vo kahāñ phir bhī magar lahr tale lahr kī ta.amīr
ki de jis pe jigar-e-tishna-tamannā bhī gavāhī
jo vo ik sat.h-e-garāñ-māya hai
ik qa.ar-e-balā-ḳhez
ubhartā huā mallāh
utartā huā aġhvāz
jahāñ vahm nahīñ
zinda-o-tābinda haqīqat hai dil-āvez
koī hiire kī kanī sī ki hai tīnat meñ sirishta
kabhī āvāz kī lau ban ga.ī
āfāq-ba-āfāq palaTtī huī aurāq
kabhī chhantī rahī āñkhoñ se paiham sifat-e-ashk
tū badaltā huā rasta
tah-e-dariyā se dahaktī huī baalū meñ
nikaltā huā rasta
jise dekhā
vo mirā vahm nahīñ merā yaqīñ thā
koī buuTā jo khaḌā hai
to yahī kaam hai us kā
ki ḳhazāne kā patā pūchhne vāloñ ko batā.e
jo ḳhalāoñ kā aqab hai
vo ḳhalā kab hai ḳhalā kab
jo vahāñ bhī
isī kamlī kā kinārā ho
kisī daur ke imkāñ sā jhalaktā
to vahāñ bhī vahī phailāv chhalaktā hai chamaktā hai
sahar-rañg dhundalke meñ
siyah-chashm tajallī kā ḳhunuk-tāb talāzum
to jigar-soḳhtgān-e-do-jahāñ
kaun hai phir khoj meñ sargarm
ye tum
gher ke laa.e ga.e tum
yā vo nazar manzilat-ārā nazar sāhab-e-kausar hai
ki hai gasht meñ bedār
jise dekhā
vo ishārā sā ki haañ jauf-e-adam
jauf-e-adam meñ bhī jo mumkin hai
ḳhud-ārā.ī ke aalam meñ ye faizān kā aalam
to ye hairat kā Thikāna nahīñ
TuuTe hue ā.īno
ye juḌ jaane kī manzil
ye jilā paane kī jā hai
wo mera wahm
ki jhonka sa koi sabz-qaba tha
jise dekha
kisi chahkar ki KHunki bhi faza mein jo bikharti
to ye khulta
ki abhi khoj hai aaghaz abhi khoj hai parwaz
kabhi yun bhi to hota hai ki ho khoj yahi
rakh ki muTThi mein dabi adh-jali patti
wahi mamul-e-shab-o-roz
ki bedad hi bedad hai
randa jo lagatar rahe pherta apna
tauba har zawiya hamwar
ba-har zawiya chhil chhil ke gawara
kahin ho jae na be-saKHta fariyaad
ye dhaDka sa bana rahta hai dil mein
wo tane TuT rahe hain
jo qadam the jo bharam the
ki koi lafz na paya na kisi lafz ka mafhum
jo pani ka badal ho
wo tane chhan ke KHamosh tahen KHak ki
KHamosh tahen aansu-e-aflak ki
lauT aae wahin
apni sisakti hui paimuda hadon mein
yahi aasar fazaon ke khule-pan se mozahim
jo guzargah mein sailab ki hote
to kisi moD par muDte hue
shabnam ka nam-o-narm bichhauna unhen milta
to do sad resha anasir wo gale bij
zara der ko ho jate wahin Dher maze mein
kaf-e-sailab mein uljhe hue KHashak mein poshida
wo juD juD ke baham
chain se sote
ki abhi der hai elan-e-sahar hone mein
elan-e-sahar pahle sune jo bhi sahar-KHez
wo auron ko bhi jag uThne ka
paiman-e-faramosh shuda
yaad dilae
yahi kaliyon ke tabassum mein ghuli yaad-dahani
jo ThiThur jae samaat
to samaat ke liye ek anokhi sa dhamaka
ye mera wahm shaguni meri zanjir
koi andhkar utar aae jo payab gumanon mein
to payab gumanon mein
utar aati hai gahrai yaqin si
koi sayyah si sayarsi jhalkar utar aae
jo Thahre hue pani mein
to Thahre hue pani mein
rawani ki mushahid
meri aashufta-nigahi
wo kahan phir bhi magar lahr tale lahr ki tamir
ki de jis pe jigar-e-tishna-tamanna bhi gawahi
jo wo ek sath-e-garan-maya hai
ek qar-e-bala-KHez
ubharta hua mallah
utarta hua aghwaz
jahan wahm nahin
zinda-o-tabinda haqiqat hai dil-awez
koi hire ki kani si ki hai tinat mein sirishta
kabhi aawaz ki lau ban gai
aafaq-ba-afaq palaTti hui auraq
kabhi chhanti rahi aankhon se paiham sifat-e-ashk
tu badalta hua rasta
tah-e-dariya se dahakti hui baalu mein
nikalta hua rasta
jise dekha
wo mera wahm nahin mera yaqin tha
koi buTa jo khaDa hai
to yahi kaam hai us ka
ki KHazane ka pata puchhne walon ko batae
jo KHalaon ka aqab hai
wo KHala kab hai KHala kab
jo wahan bhi
isi kamli ka kinara ho
kisi daur ke imkan sa jhalakta
to wahan bhi wahi phailaw chhalakta hai chamakta hai
sahar-rang dhundalke mein
siyah-chashm tajalli ka KHunuk-tab talazum
to jigar-soKHtgan-e-do-jahan
kaun hai phir khoj mein sargarm
ye tum
gher ke lae gae tum
ya wo nazar manzilat-ara nazar sahab-e-kausar hai
ki hai gasht mein bedar
jise dekha
wo ishaara sa ki han jauf-e-adam
jauf-e-adam mein bhi jo mumkin hai
KHud-arai ke aalam mein ye faizan ka aalam
to ye hairat ka Thikana nahin
TuTe hue aaino
ye juD jaane ki manzil
ye jila pane ki ja hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.