nirwan
jism ke rāstoñ se guzar kar
mutma.in nafs kī aarzū meñ
jo bhī niklā vo vāpas na aayā
ruuh kī vahshatoñ meñ ulajh kar
mutma.in nafs kī aarzū meñ
jo bhī niklā vo vāpas na aayā
log phir dekhte kyuuñ nahīñ haiñ
log phir sochte kyuuñ nahīñ haiñ
log phir bolte kyuuñ nahīñ haiñ
jism ke raston se guzar kar
mutmain nafs ki aarzu mein
jo bhi nikla wo wapas na aaya
ruh ki wahshaton mein ulajh kar
mutmain nafs ki aarzu mein
jo bhi nikla wo wapas na aaya
log phir dekhte kyun nahin hain
log phir sochte kyun nahin hain
log phir bolte kyun nahin hain
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 501)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.