nirwan
mirī saañs kā silsila
aise TuuTe ki ik mast jhoñke ke mānind girtī luḌhaktī huī umr merī
harī lāñbī maḳhmal sī ḳhushbū bharī ghaas meñ
apne nañge badan ko utāre
na aañsū girā.e na dāman pasāre
faqat haath ke al-vidā.ī ishāre se
apne ta.āqub meñ aate parindoñ ko ruḳhsat kare
aur ḳhud ghaas kī jhiil meñ Duub jaa.e
mirī saañs kā silsila
yuuñ na TuuTe ki ik tund jhoñke ke mānind uḌtī huī umr merī
kisī band ujḌe hue shahr meñ daf.atan ḳhud ko paa.e
bhayānak ḳhamoshī kā ik Doltā qahqaha
us kī rag rag meñ utre to vo baukhlā.e
qatāroñ meñ leTī huī murda galiyoñ meñ bhaTke
makānoñ meñ utre muñDeroñ pe aa.e
siyah chhoTī īñToñ kī farsūda dīvār ko apnī poroñ se chhū kar
koī dar DhūñDe koī raah māñge
achānak kisī sard khambe kī be-nūr āñkhoñ se jhāñke
baḌe karb se giḌgiḌā.e
ḳhudārā koī mujh ko bāhar nikalne kā rasta batā.e
ḳhudārā koī mujh ko bāhar nikalne kā rasta batā.e
meri sans ka silsila
aise TuTe ki ek mast jhonke ke manind girti luDhakti hui umr meri
hari lanbi maKHmal si KHushbu bhari ghas mein
apne nange badan ko utare
na aansu girae na daman pasare
faqat hath ke al-widai ishaare se
apne taaqub mein aate parindon ko ruKHsat kare
aur KHud ghas ki jhil mein Dub jae
meri sans ka silsila
yun na TuTe ki ek tund jhonke ke manind uDti hui umr meri
kisi band ujDe hue shahr mein dafatan KHud ko pae
bhayanak KHamoshi ka ek Dolta qahqaha
us ki rag rag mein utre to wo baukhlae
qataron mein leTi hui murda galiyon mein bhaTke
makanon mein utre munDeron pe aae
siyah chhoTi inTon ki farsuda diwar ko apni poron se chhu kar
koi dar DhunDe koi rah mange
achanak kisi sard khambe ki be-nur aankhon se jhanke
baDe karb se giDgiDae
KHudara koi mujh ko bahar nikalne ka rasta batae
KHudara koi mujh ko bahar nikalne ka rasta batae
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 150)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.