nisbat-e-KHak
zamīñ se kyuuñ na mujhe pyaar ho ki merā vajūd
azal se tā-ba-abad ḳhaak se ibārat hai
mirā ḳhayāl mire ḳhvāb merī fikr-o-nazar
jasad se tā-ba-lahad ḳhaak se ibārat hai
vo musht-e-ḳhāk jise nuur ne kiyā sajda
ḳhirad ke nit na.e sāñchoñ meñ Dhal rahī hai aaj
vo aag jis ne kiyā inhirāf-e-azmat-e-ḳhāk
ḳhud apnī zaat ke dozaḳh meñ jal rahī hai aaj
maiñ apnī ḳhaak se kis tarah be-niyāz rahūñ
mirī zamīñ mujhe jannat dikhā.ī detī hai
vo guftugū jo sar-e-arsh mere haq meñ huī
ḳhudā ke lahje meñ ab bhī sunā.ī detī hai
maiñ apnī ḳhaak vatan se jo pyaar kartā huuñ
to is liye ki mujhe us se ḳhaas nisbat hai
mire vajūd kī azmat mirā urūj-o-zavāl
azal se tā-ba-abad ḳhaak se ibārat hai
zamin se kyun na mujhe pyar ho ki mera wajud
azal se ta-ba-abad KHak se ibarat hai
mera KHayal mere KHwab meri fikr-o-nazar
jasad se ta-ba-lahad KHak se ibarat hai
wo musht-e-KHak jise nur ne kiya sajda
KHirad ke nit nae sanchon mein Dhal rahi hai aaj
wo aag jis ne kiya inhiraf-e-azmat-e-KHak
KHud apni zat ke dozaKH mein jal rahi hai aaj
main apni KHak se kis tarah be-niyaz rahun
meri zamin mujhe jannat dikhai deti hai
wo guftugu jo sar-e-arsh mere haq mein hui
KHuda ke lahje mein ab bhi sunai deti hai
main apni KHak watan se jo pyar karta hun
to is liye ki mujhe us se KHas nisbat hai
mere wajud ki azmat mera uruj-o-zawal
azal se ta-ba-abad KHak se ibarat hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 283)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.