Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nisf hijr ke dayar se

Saeed Ahmad

nisf hijr ke dayar se

Saeed Ahmad

MORE BYSaeed Ahmad

    havā ke hāthoñ meñ haath de kar

    judā.iyoñ ke safar pe nikle the tum

    magar kyuuñ

    ruke hue ho

    yaqīn-e-ḳhufta gumān-e-puḳhta ke pāniyoñ par

    jahāñ pe avval mohabbatoñ ke kañval khile the

    abhī vahīñ ho!

    judā.iyoñ ke safar pe kar bhī ab talak tum

    ga.e nahīñ ho!

    chale bhī jaao

    chale bhī jaao

    ki gum-shuda zaat ke ḳhazīne kunjiyāñ DhūñDnī haiñ maiñ ne

    sukūt-e-saut-o-sadā ke parde meñ tarz-e-guftār sīkhnī hai

    nikal ke maujūda vaqt ke be-darīcha be-dar haveliyoñ se

    mujhe mulāqāt sochnī hai

    bahut be-nām ġhair mahdūd sā.atoñ saheliyoñ se

    chale bhī jaao

    bas is se pahle

    ki mom-lamha pighal jaa.e

    ki jabr āġhāz ho shaboñ

    ki soch rasta badal jaa.e

    chale bhī jaao

    hawa ke hathon mein hath de kar

    judaiyon ke safar pe nikle the tum

    magar kyun

    ruke hue ho

    yaqin-e-KHufta guman-e-puKHta ke paniyon par

    jahan pe awwal mohabbaton ke kanwal khile the

    abhi wahin ho!

    judaiyon ke safar pe ja kar bhi ab talak tum

    gae nahin ho!

    chale bhi jao

    chale bhi jao

    ki gum-shuda zat ke KHazine ki kunjiyan DhunDni hain main ne

    sukut-e-saut-o-sada ke parde mein tarz-e-guftar sikhni hai

    nikal ke maujuda waqt ke be-daricha be-dar haweliyon se

    mujhe mulaqat sochni hai

    bahut si be-nam ghair mahdud saaton ki saheliyon se

    chale bhi jao

    bas is se pahle

    ki mom-lamha pighal hi jae

    ki jabr aaghaz ho shabon ka

    ki soch rasta badal hi jae

    chale bhi jao

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now