nishan
mohabbatoñ ke nishāñ der tak nahīñ jaate
lakīreñ haath se qismat kī miT ga.iiñ phir bhī
tirī hathelī kā nāzuk sā lams taazā hai
hai bār-e-zīst se gardan jhukī jhukī lekin
gale meñ hai tirī bāhoñ kā dā.era ab bhī
mirī bhī aañkh hai nam aur tire bhī aariz par
mire laboñ kā vo giilā nishān aaj bhī hai
mohabbatoñ ke nishāñ umr-bhar nahīñ jaate
mohabbaton ke nishan der tak nahin jate
lakiren hath se qismat ki miT gain phir bhi
teri hatheli ka nazuk sa lams taza hai
hai bar-e-zist se gardan jhuki jhuki lekin
gale mein hai teri bahon ka daera ab bhi
meri bhi aankh hai nam aur tere bhi aariz par
mere labon ka wo gila nishan aaj bhi hai
mohabbaton ke nishan umr-bhar nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.