nishan
tabī.at to ḳhuub
paa.ī hai lahroñ ne
chaTānoñ pe
sar paTak ke
dam toḌne kī
un kī fitrat kā
kamāl to dekho
bārhā TuuT kar bhī
sang-dil ke
siine par
āḳhir apne
vajūd kā nishān
chhoḌ jaatī haiñ
tabiat to KHub
pai hai lahron ne
chaTanon pe
sar paTak ke
dam toDne ki
un ki fitrat ka
kamal to dekho
barha TuT kar bhi
sang-dil ke
sine par
aaKHir apne
wajud ka nishan
chhoD jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.