niwala
maañ hai resham ke kār-ḳhāne meñ
baap masrūf suutī mill meñ hai
kokh se maañ kī jab se niklā hai
bachcha kholī ke kaale dil meñ hai
jab yahāñ se nikal ke jā.egā
kār-ḳhānoñ ke kaam aa.egā
apne majbūr peT kī ḳhātir
bhuuk sarmā.e kī baḌhā.egā
haath sone ke phuul ugleñge
jism chāñdī kā dhan luTā.egā
khiḌkiyāñ hoñgī bank kī raushan
ḳhuun us kā diye jalā.egā
ye jo nanhā hai bholā-bhālā hai
sirf sarmā.e kā nivālā hai
pūchhtī hai ye us kī ḳhāmoshī
koī mujh ko bachāne vaalā hai
man hai resham ke kar-KHane mein
bap masruf suti mill mein hai
kokh se man ki jab se nikla hai
bachcha kholi ke kale dil mein hai
jab yahan se nikal ke jaega
kar-KHanon ke kaam aaega
apne majbur peT ki KHatir
bhuk sarmae ki baDhaega
hath sone ke phul uglenge
jism chandi ka dhan luTaega
khiDkiyan hongi bank ki raushan
KHun us ka diye jalaega
ye jo nanha hai bhola-bhaala hai
sirf sarmae ka niwala hai
puchhti hai ye us ki KHamoshi
koi mujh ko bachane wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.