niyaz-mandi
rūh-e-gulistāñ samajh
jān-e-rañg-o-bū samajh
naġhma-e-bahār kah asal hā-o-hū samajh
dekh chashm-e-shauq se
ḳhashm kī nigāh se
terā zauq hai mujhe jo bhī chāhe tū samajh
mere ruḳh pe taab hai
tere ruḳh kī taab se
mere dam se hai terī zulf-e-mushkbū samajh
qulzum-e-hayāt meñ
josh tere zikr se
merā fikr hai tirī mastiyoñ kī jo samajh
maiñ huuñ terā rāzdāñ
azmatoñ kā pāsbāñ
apnā paas kar mujhe apnī aabrū samajh
ik nigāh-e-shauq se
dekh kyā nahīñ huuñ maiñ
naḳhl-e-ārzū samajh asl-e-justujū samajh
ruh-e-gulistan samajh
jaan-e-rang-o-bu samajh
naghma-e-bahaar kah asal ha-o-hu samajh
dekh chashm-e-shauq se
KHashm ki nigah se
tera zauq hai mujhe jo bhi chahe tu samajh
mere ruKH pe tab hai
tere ruKH ki tab se
mere dam se hai teri zulf-e-mushkbu samajh
qulzum-e-hayat mein
josh tere zikr se
mera fikr hai teri mastiyon ki jo samajh
main hun tera raazdan
azmaton ka pasban
apna pas kar mujhe apni aabru samajh
ek nigah-e-shauq se
dekh kya nahin hun main
naKHl-e-arzu samajh asl-e-justuju samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.