nizam-e-shamsi
us ne apne safed papoTe jhapkā.e
maTyālī āñkhoñ se puure āsmān ko taakā
aur sūraj ko god meñ bhar kar bolā
baḌī aag hai tujh meñ
chal tujhe qutub-shumālī meñ dafn karte haiñ
chhoTe chhoTe sayyāroñ kī bhī apnī zindagī hotī hai
unheñ apne apne kurre par ghūmne de
kis meñ paanī hai
kis meñ havā
ye dekhnā terā kaam nahīñ
apne sayyāre pe zindagī kī alāmateñ DhūñDhnā
talāsh kā pahlā nukta hai
terī duurī farhat-baḳhsh hai
qurbat andoh-gīñ
tujhe god meñ le kar merī āġhosh meñ chhāle paḌ ga.e
taḳhlīq ke pahle marhale meñ
nizām-e-shamsī tartīb dete hue
tujhe markaz meñ rahne denā merī bhuul to nahīñ
us ne apne safed papoTe jhapkae
maTyali aankhon se pure aasman ko taka
aur suraj ko god mein bhar kar bola
baDi aag hai tujh mein
chal tujhe qutub-shumali mein dafn karte hain
chhoTe chhoTe sayyaron ki bhi apni zindagi hoti hai
unhen apne apne kurre par ghumne de
kis mein pani hai
kis mein hawa
ye dekhna tera kaam nahin
apne sayyare pe zindagi ki alamaten DhunDhna
talash ka pahla nukta hai
teri duri farhat-baKHsh hai
qurbat andoh-gin
tujhe god mein le kar meri aaghosh mein chhaale paD gae
taKHliq ke pahle marhale mein
nizam-e-shamsi tartib dete hue
tujhe markaz mein rahne dena meri bhul to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.