no mans land
mujhe batā kar
ki merī samt-e-safar kahāñ hai
ka.ī ḳhazānoñ ke
be-nishān naqshe
mujhe thamā kar
kahā thā us ne ki sātveñ dar se aur aage
tumhārī ḳhātir
mirā vo bāb-e-baqā khulā hai
magar
vahāñ par tamām dar vā the merī ḳhātir
vo sātvāñ dar khulā nahīñ thā
magar vahāñ par
koī bhī rāz-e-baqā nahīñ thā
tamām ajsām the salāmat
koī bhī zinda bachā nahīñ thā
koī bhī mere sivā nahīñ thā
vahāñ bhī koī ḳhudā nahīñ thā
mujhe bata kar
ki meri samt-e-safar kahan hai
kai KHazanon ke
be-nishan naqshe
mujhe thama kar
kaha tha us ne ki satwen dar se aur aage
tumhaari KHatir
mera wo bab-e-baqa khula hai
magar
wahan par tamam dar wa the meri KHatir
wo satwan dar khula nahin tha
magar wahan par
koi bhi raaz-e-baqa nahin tha
tamam ajsam the salamat
koi bhi zinda bacha nahin tha
koi bhi mere siwa nahin tha
wahan bhi koi KHuda nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.