Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nostalgia

Ali Imran

nostalgia

Ali Imran

MORE BYAli Imran

    biis baras vo purānī shirt

    niklī hai almārī se

    maiñ ne tah kar ke us ko

    almārī ke sab se uupar vaale ḳhāne meñ rakkhā thā

    jaise merī būḌhī maañ qur.ān ko chuum ke rakhtī thī

    terī yādoñ ke parfum ke dhabbe paḌe haiñ ab tak

    aur maiñ chhū kar dekhūñ to

    ḳhushbū bhī ab tak ga.ī nahīñ hai

    vaqt is shirt āstīn ghusā huā hai

    bas maiñ āḳhirī baar jo terā ticket liyā thā

    jeb meñ ab tak paḌā huā hai

    ne āḳhirī baar baTan Tāñkā thā is meñ

    yaad hai jānāñ

    daañt se dhāga toḌ ke kaise

    soī chubhoī thī siine meñ

    us Tīseñ aaj bhī mere

    dil meñ rah rah kar uThtī haiñ

    sab kuchh itnā taaza hai

    maiñ ne shirt sambhāl ke rakkhī

    vaqt ko maiñ ne rok ke rakkhā

    sab kuchh vaise vaisā hai

    lekin jānāñ

    ye to batā

    shirt ke collar par jo terī

    kaalī zulf baal Tikā thā

    us par safedī kaise aa.ī

    bis baras wo purani shirt

    nikli hai almari se

    main ne tah kar ke us ko

    almari ke sab se upar wale KHane mein rakkha tha

    jaise meri buDhi man quran ko chum ke rakhti thi

    teri yaadon ke parfum ke dhabbe paDe hain ab tak

    aur main chhu kar dekhun to

    KHushbu bhi ab tak gai nahin hai

    waqt is shirt ki aastin ka ghusa hua hai

    bas main aaKHiri bar jo tera ticket liya tha

    jeb mein ab tak paDa hua hai

    tu ne aaKHiri bar baTan Tanka tha is mein

    yaad hai jaanan

    dant se dhaga toD ke kaise

    soi chubhoi thi sine mein

    us ki Tisen aaj bhi mere

    dil mein rah rah kar uThti hain

    sab kuchh itna hi taza hai

    main ne shirt sambhaal ke rakkhi

    waqt ko main ne rok ke rakkha

    sab kuchh waise ka waisa hai

    lekin jaanan

    ye to bata tu

    shirt ke collar par jo teri

    kali zulf ka baal Tika tha

    us par safedi kaise aai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now