Nostalgia
vo din kitne munavvar the
kisī ko bāzuoñ meñ be-tarah bharne kī ḳhvāhish se
ayāġh-e-jism-o-jāñ ik be-ḳhudī meñ jab labā-lab thā
chanāroñ ke badan meñ sruḳh-rū mastī dahaktī thī
kuchh aisā haal besh-o-kam hamāre dil kā bhī tab thā
vo din kitne munavvar the
ki bachpan kī hasīñ shāmoñ ke saa.e baat karte the
tū jaise duur ufuq qulqul se hañstā thaa, jahāñ rab thā
ki har lazzat zabāñ ko yaad ke naame sunātī thī
ki har ḳhushbū se paivasta koī pichhlā jahāñ jab thā
mohabbat dil ke ḳhālī dasht meñ jab sair kartī thī
so is tārāj ke aage hameñ kuchh hosh hī kab thā
ḳhushī kā narm-par taa.ir badan meñ sarsarātā thā
to aañsū bhī umaDte the, ḳhushī kā ye bhī ik Dhab thā
vo din kitne munavvar the
tahī-kesa zamāne sarḳhushī se jab chhalakte the
bhare din jis se ḳhālī haiñ tahī kīsoñ meñ vo sab thā
wo din kitne munawwar the
kisi ko bazuon mein be-tarah bharne ki KHwahish se
ayagh-e-jism-o-jaan ek be-KHudi mein jab laba-lab tha
chanaron ke badan mein sruKH-ru masti dahakti thi
kuchh aisa haal besh-o-kam hamare dil ka bhi tab tha
wo din kitne munawwar the
ki bachpan ki hasin shamon ke sae baat karte the
tu jaise dur ufuq qulqul se hansta tha, jahan rab tha
ki har lazzat zaban ko yaad ke name sunati thi
ki har KHushbu se paiwasta koi pichhla jahan jab tha
mohabbat dil ke KHali dasht mein jab sair karti thi
so is taraj ke aage hamein kuchh hosh hi kab tha
KHushi ka narm-par tair badan mein sarsaraata tha
to aansu bhi umaDte the, KHushi ka ye bhi ek Dhab tha
wo din kitne munawwar the
tahi-kesa zamane sarKHushi se jab chhalakte the
bhare din jis se KHali hain tahi kison mein wo sab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.