nowember ke pahle hafte par ek nazm
ḳhunuk havā kā barahna hāthoñ se zard māthe se
pahlā pahlā mukālima hai
abhī ye din-rāt sard-mehrī ke itne ḳhūgar nahīñ hue haiñ
to phir ye be-vazn sub.h kyuuñ bojh ban rahī hai
savād-e-āġhāz-e-ḳhushk-sālī meñ kyuuñ varaq bhīgne lagā hai
dhuāñ dhuāñ shaam ke alaav meñ koī jañgal jale
ki rūThī huī tamannā
ḳhizāñ kā paanī koī ishāra nahīñ samajhtā
ye nahr ab tak purāne pahre meñ chal rahī hai
ajiib tāsīr āḳhir-e-shab ke āsmāñ kī
havā chale yā zamīn ghūme
fasīl kohre kī koī sūraj nahīñ girātā
zamīn se malba ga.e dinoñ kā koī sitāra nahīñ uThātā
tavīl rāteñ ki muḳhtasar din
kasīr va.ade qalīl umreñ
abas hisāb-o-shumār us kā jo gosht is saal nāḳhunoñ se judā huā hai
sikuḌte lamhe kī ek sarhad se tā-ba-hadd-e-digar vahī kār-e-satr-poshī
vo mū-e-tan ho ki tār-e-pamba ki bāl-o-par aks-e-ā.īna ke
har ek katran pe zardiyāñ bāñTne daraḳhtoñ ke faisle haiñ
udaas pattā
ḳhizāñ kā paanī na.e ma.ānī nahīñ samajhtā
so nahr ab tak purāne pahre meñ chal rahī hai
KHunuk hawa ka barahna hathon se zard mathe se
pahla pahla mukalima hai
abhi ye din-raat sard-mehri ke itne KHugar nahin hue hain
to phir ye be-wazn subh kyun bojh ban rahi hai
sawad-e-aghaz-e-KHushk-sali mein kyun waraq bhigne laga hai
dhuan dhuan sham ke alaw mein koi jangal jale
ki ruThi hui tamanna
KHizan ka pani koi ishaara nahin samajhta
ye nahr ab tak purane pahre mein chal rahi hai
ajib tasir aaKHir-e-shab ke aasman ki
hawa chale ya zamin ghume
fasil kohre ki koi suraj nahin giraata
zamin se malba gae dinon ka koi sitara nahin uThata
tawil raaten ki muKHtasar din
kasir wade qalil umren
abas hisab-o-shumar us ka jo gosht is sal naKHunon se juda hua hai
sikuDte lamhe ki ek sarhad se ta-ba-hadd-e-digar wahi kar-e-satr-poshi
wo mu-e-tan ho ki tar-e-pamba ki baal-o-par aks-e-aina ke
har ek katran pe zardiyan banTne daraKHton ke faisle hain
udas patta
KHizan ka pani nae maani nahin samajhta
so nahr ab tak purane pahre mein chal rahi hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 378)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.