numaish-e-aligarh
shafaq naza.a meñ le rahī thī sambhālā
añdhere kā ġham khā rahā thā ujālā
sitāroñ ke ruḳh se naqāb uTh rahī thī
fazāoñ se mauj-e-shabāb uTh rahī thī
mai-e-zindagī jām-e-mai-nosh meñ thī
vo kaif-e-masarrat, vo lamhāt-e-rañgīñ
vo ehsās-e-mastī vo jazbāt-e-rañgīñ
vo pur-kaif aalam vo dilkash nazāre
vo jalvoñ ke bahte hue ḳhushk dhāre
vo namkīn āġhāz-e-shab allāh allāh
numā.ish kī vo tāb-o-tab allāh allāh
vo bāb-e-muzammil pe jashn-e-charāġhāñ
falak par hoñ jaise sitāre daraḳhshāñ
fazāoñ meñ gūñje hue vo tarāne
vo jāñ-baḳhsh naġhme vo pur-lutf gaane
vo har samt husn-o-latāfat kī jāneñ
vo ārāsta saaf suthrī dukāneñ
kahīñ par hai nazzāra kārīgarī kā
kahīñ garm hotel hai peshāvarī kā
ba-qadr-e-sukūñ vo diloñ kā bahalnā
amīroñ ġharīboñ kā yakjā Tahalnā
numāyāñ numāyāñ vo yārān-e-college
vo ishrat-ba-dāmāñ javānān-e-college
koī tez-dastī o chustī pe nāzāñ
koī sehhat o tandurustī pe nāzāñ
koī husn kī jalva-rezī pe maa.il
koī shoḳh nazroñ kī tezī pe maa.il
idhar chashm-e-hairāñ kī nazzāra-sāzī
udhar husn vaalo kī jalva-tarāzī
ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ vo ham-joliyoñ meñ
nikaltī huī muḳhtalif Toliyoñ meñ
naqāboñ meñ vo be-naqābī kā aalam
jo laatā hai dil par ḳharābī kā aalam
kisī kā vo chehre se āñchal uThānā
kisī kā kisī se nigāheñ churānā
kabhī yak-ba-yak chalte chalte Thaharnā
nigāhoñ se jalvoñ kī islāh karnā
kabhī ik tavajjoh dukānoñ kī jānib
kabhī ik nazar naujavānoñ kī jānib
tamāshā ġharaz kāmyāb aa rahā thā
numā.ish pe goyā shabāb aa rahā thā
idhar ham bhī bazm-e-taḳhayyul sajā kar
khaḌe ho ga.e ek dukkāñ pe aa kar
nazar mil ga.ī daf.atan ik nazar se
dhaḌakne lagā dil mohabbat ke Dar se
idhar to nazar se jabīñ-sā.iyāñ thiiñ
udhar se bhī kuchh himmat-afzā.iyāñ thiiñ
ḳhalish dil kī donoñ ko taḌpā ga.ī thī
mohabbat kī manzil qarīb aa ga.ī thī
ḳhayālāt meñ is taraf ik talātum
laboñ par udhar halkā halkā tabassum
nigāhoñ se ahd-e-vafā ho rahā thā
ishāroñ se matlab adā ho rahā thā
idhar ishq ke bām-o-dar saj rahe the
ghaḌī meñ jo dekhā to nau baj rahe the
yakāyak javāñ kuchh mire paas aa.e
jo the āstīnoñ pe bille lagā.e
kahā itnī taklīf farmā.iyegā
numā.ish se tashrīf le jā.iyegā
ġharaz chal diye ghar ko majbūr ho kar
mohabbat ke jalvoñ se ma.amūr ho kar
hui jaarī rahī thī ajab hālat-e-dil
koī chhīn le jaise paḌhte meñ novel
ham is tarah bāb-e-muzammil se nikle
lahū jaise TuuTe hue dil se nikle
bahar-e-hāl ab bhī vahī hai numā.ish
naved-e-tarab de rahī hai numā.ish
vahī jashn hai aur vahī zindagī hai
magar jaise har shai meñ koī kamī hai
are o nigāhoñ pe chhā jaane vaalī
mire dil ko rah rah ke yaad aane vaalī
tirī tarah jalva-numā hai numā.ish
tire husn kā aa.inā hai numā.ish
numā.ish meñ terī latāfat hai pinhāñ
numā.ish meñ terī nazākat hai pinhāñ
nigāhoñ ko nāhaq tirī justujū hai
yaqīnan numā.ish ke parde meñ tū hai
shafaq naza mein le rahi thi sambhaala
andhere ka gham kha raha tha ujala
sitaron ke ruKH se naqab uTh rahi thi
fazaon se mauj-e-shabab uTh rahi thi
mai-e-zindagi jam-e-mai-nosh mein thi
wo kaif-e-masarrat, wo lamhat-e-rangin
wo ehsas-e-masti wo jazbaat-e-rangin
wo pur-kaif aalam wo dilkash nazare
wo jalwon ke bahte hue KHushk dhaare
wo namkin aaghaz-e-shab allah allah
numaish ki wo tab-o-tab allah allah
wo bab-e-muzammil pe jashn-e-charaghan
falak par hon jaise sitare daraKHshan
fazaon mein gunje hue wo tarane
wo jaan-baKHsh naghme wo pur-lutf gane
wo har samt husn-o-latafat ki jaanen
wo aarasta saf suthri dukanen
kahin par hai nazzara karigari ka
kahin garm hotel hai peshawari ka
ba-qadr-e-sukun wo dilon ka bahalna
amiron gharibon ka yakja Tahalna
numayan numayan wo yaran-e-college
wo ishrat-ba-daman jawanan-e-college
koi tez-dasti o chusti pe nazan
koi sehhat o tandurusti pe nazan
koi husn ki jalwa-rezi pe mail
koi shoKH nazron ki tezi pe mail
idhar chashm-e-hairan ki nazzara-sazi
udhar husn walo ki jalwa-taraazi
KHiraman KHiraman wo ham-joliyon mein
nikalti hui muKHtalif Toliyon mein
naqabon mein wo be-naqabi ka aalam
jo lata hai dil par KHarabi ka aalam
kisi ka wo chehre se aanchal uThana
kisi ka kisi se nigahen churana
kabhi yak-ba-yak chalte chalte Thaharna
nigahon se jalwon ki islah karna
kabhi ek tawajjoh dukanon ki jaanib
kabhi ek nazar naujawanon ki jaanib
tamasha gharaz kaamyab aa raha tha
numaish pe goya shabab aa raha tha
idhar hum bhi bazm-e-taKHayyul saja kar
khaDe ho gae ek dukkan pe aa kar
nazar mil gai dafatan ek nazar se
dhaDakne laga dil mohabbat ke Dar se
idhar to nazar se jabin-saiyan thin
udhar se bhi kuchh himmat-afzaiyan thin
KHalish dil ki donon ko taDpa gai thi
mohabbat ki manzil qarib aa gai thi
KHayalat mein is taraf ek talatum
labon par udhar halka halka tabassum
nigahon se ahd-e-wafa ho raha tha
ishaaron se matlab ada ho raha tha
idhar ishq ke baam-o-dar saj rahe the
ghaDi mein jo dekha to nau baj rahe the
yakayak jawan kuchh mere pas aae
jo the aastinon pe bille lagae
kaha itni taklif farmaiyega
numaish se tashrif le jaiyega
gharaz chal diye ghar ko majbur ho kar
mohabbat ke jalwon se mamur ho kar
hui jari rahi thi ajab haalat-e-dil
koi chhin le jaise paDhte mein nowel
hum is tarah bab-e-muzammil se nikle
lahu jaise TuTe hue dil se nikle
bahar-e-haal ab bhi wahi hai numaish
nawed-e-tarab de rahi hai numaish
wahi jashn hai aur wahi zindagi hai
magar jaise har shai mein koi kami hai
are o nigahon pe chha jaane wali
mere dil ko rah rah ke yaad aane wali
teri tarah jalwa-numa hai numaish
tere husn ka aaina hai numaish
numaish mein teri latafat hai pinhan
numaish mein teri nazakat hai pinhan
nigahon ko nahaq teri justuju hai
yaqinan numaish ke parde mein tu hai
- Book : Kulliyat Shakeel (Pg. 299)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.