numaish mein
vo kuchh doshīzgān-e-nāz-parvar
khaḌī haiñ ik bisātī kī dukāñ par
nazar ke sāmne hai ek mahshar
aur ik mahshar hai mere dil ke andar
sunahrā kaam rañgīñ sā.riyoñ par
bisāt-e-āsmāñ par māh-o-aḳhtar
jamāl-o-husn ke pur-ro.ab tevar
numāyāñ chāñd sī peshāniyoñ par
vo ruḳhsāroñ pe halkī halkī surḳhī
laboñ meñ pur-fishāñ rūh-e-gul-e-tar
siyah zulfoñ meñ rūh-e-sumbulistāñ
nazar sar-chashma-e-tasnīm-o-kausar
adā-e-nāz ġharq-e-kaif-e-sahbā
siyah mizhgāñ sharāb-ālūda nashtar
chamak tāroñ kī chashm-e-surmagīñ meñ
jhalak chāñdī kī jism-e-marmarīñ meñ
vo ḳhushbū aa rahī hai pairahan se
fazā hai duur tak jis se mo.attar
tabassum aur hañsī ke narm tūfāñ
fazāoñ meñ musalsal bārish-e-zar
nishāt-e-rañg-o-bū se chuur āñkheñ
sharāb-e-nāb se labrez sāġhar
vo mehrābeñ sī sīnoñ par numāyāñ
fazā-e-nūr meñ cupid ke shah-par
nafas ke āmad-o-shud se talātum
shab-e-mahtāb meñ jaise samundar
sitāroñ kī nigāheñ jhuk ga.ī haiñ
zamīñ phir ḳhanda-zan hai āsmāñ par
koī ā.īna-dār-e-husn-e-fāras
kisī meñ husn-e-yūnānī ke jauhar
kisī meñ aks-e-''ma.asūm-e-kalīsā''
kisī meñ partav-e-asnām-e-āzar
ye shīrīñ hai vo naushāba hai shāyad
nahīñ yaañ farq-e-farhād-o-sikandar
ye apne husn meñ azrā-e-vāmiq
vo apne naaz meñ salmā-e-'aḳhtar'
ye tābānī meñ ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ
vo ra.anā.ī meñ us se bhī fuzūñ-tar
hañsī us kī tulū-e-sub.h-e-ḳhandāñ
navā us kī surūd-e-kaif-āvar
ye sholā-āfrīñ vo barq-afgan
ye ā.īña-jabīñ vo māh-paikar
vo jumbish sī huī kuchh āñchaloñ ko
vo lahreñ sī uThīñ kuchh sā.riyoñ par
ḳhirām-e-nāz se naġhme jagātī
vo chal diiñ ek jānib muskurā kar
kisī kī hasrateñ pāmāl kartī
kisī kī hasrateñ ham-rāh le kar
kabhī āñkheñ dukānoñ par jamī haiñ
kabhī ḳhud apnī hī barnāiyoñ par
idhar ham ne ik āh-e-sard khīñchī
hañsī phir aa ga.ī apne kiye par
wo kuchh doshizgan-e-naz-parwar
khaDi hain ek bisati ki dukan par
nazar ke samne hai ek mahshar
aur ek mahshar hai mere dil ke andar
sunahra kaam rangin sariyon par
bisat-e-asman par mah-o-aKHtar
jamal-o-husn ke pur-roab tewar
numayan chand si peshaniyon par
wo ruKHsaron pe halki halki surKHi
labon mein pur-fishan ruh-e-gul-e-tar
siyah zulfon mein ruh-e-sumbulistan
nazar sar-chashma-e-tasnim-o-kausar
ada-e-naz gharq-e-kaif-e-sahba
siyah mizhgan sharab-aluda nashtar
chamak taron ki chashm-e-surmagin mein
jhalak chandi ki jism-e-marmarin mein
wo KHushbu aa rahi hai pairahan se
faza hai dur tak jis se moattar
tabassum aur hansi ke narm tufan
fazaon mein musalsal barish-e-zar
nishat-e-rang-o-bu se chur aankhen
sharab-e-nab se labrez saghar
wo mehraben si sinon par numayan
faza-e-nur mein cupid ke shah-par
nafas ke aamad-o-shud se talatum
shab-e-mahtab mein jaise samundar
sitaron ki nigahen jhuk gai hain
zamin phir KHanda-zan hai aasman par
koi aaina-dar-e-husn-e-faras
kisi mein husn-e-yunani ke jauhar
kisi mein aks-e-masum-e-kalisa
kisi mein partaw-e-asnam-e-azar
ye shirin hai wo naushaba hai shayad
nahin yan farq-e-farhad-o-sikandar
ye apne husn mein azra-e-wamiq
wo apne naz mein salma-e-'aKHtar'
ye tabani mein KHurshid-e-daraKHshan
wo ranai mein us se bhi fuzun-tar
hansi us ki tulu-e-subh-e-KHandan
nawa us ki surud-e-kaif-awar
ye shola-afrin wo barq-afgan
ye aaina-jabin wo mah-paikar
wo jumbish si hui kuchh aanchalon ko
wo lahren si uThin kuchh sariyon par
KHiram-e-naz se naghme jagati
wo chal din ek jaanib muskura kar
kisi ki hasraten pamal karti
kisi ki hasraten ham-rah le kar
kabhi aankhen dukanon par jami hain
kabhi KHud apni hi barnaiyon par
idhar hum ne ek aah-e-sard khinchi
hansi phir aa gai apne kiye par
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.