numu
maiñ vo shajar thā
ki mere saa.e meñ baiThne aur shāḳhoñ pe jhūlne kī hazāroñ jismoñ ko aarzū thī
zamīñ kī āñkheñ darāzi-e-umar kī duāoñ meñ ro rahī thiiñ
aur sūraj ke haath thakte nahīñ the mujh ko sañvārne meñ
ki maiñ ik āvāz kā safar thā
ajab shajar thā
ki us musāfir kā muntazir thā
jo mere saa.e meñ aa ke baiThe to phir na uTThe
jo merī shāḳhoñ pe aa.e jhūle to saare mausam yahīñ guzāre
magar vo pāgal havā kā jhoñkā magar vo pāgal havā kā jhoñkā
ajab musāfir thā rahguzar kā
jo chhoḌ aayā thā kitnī shāḳheñ
magar lagā yuuñ ki jaise ab vo shikasta-tar hai
vo mere ḳhvāboñ kā ham-safar hai
so maiñ ne saa.e bichhā diye the
tamām jhūle hilā diye the
magar vo pāgal havā kā jhoñkā magar vo pāgal havā kā jhoñkā
ajab musāfir thā rahguzar thā
ki lamhe bhar meñ guzar chukā thā
maiñ be-numū aur be-samar thā
magar maiñ āvāz kā safar thā
so merī āvāz kā ajar thā
ajab shajar thā
ajab shajar huuñ
ki aane vaale sah kah rahā huuñ
ai mere dil meñ utarne vaale
ai mujh ko shādāb karne vaale
tujhe mirī raushnī mubārak
tujhe mirī zindagī mubārak
main wo shajar tha
ki mere sae mein baiThne aur shaKHon pe jhulne ki hazaron jismon ko aarzu thi
zamin ki aankhen daraazi-e-umar ki duaon mein ro rahi thin
aur suraj ke hath thakte nahin the mujh ko sanwarne mein
ki main ek aawaz ka safar tha
ajab shajar tha
ki us musafir ka muntazir tha
jo mere sae mein aa ke baiThe to phir na uTThe
jo meri shaKHon pe aae jhule to sare mausam yahin guzare
magar wo pagal hawa ka jhonka magar wo pagal hawa ka jhonka
ajab musafir tha rahguzar ka
jo chhoD aaya tha kitni shaKHen
magar laga yun ki jaise ab wo shikasta-tar hai
wo mere KHwabon ka ham-safar hai
so main ne sae bichha diye the
tamam jhule hila diye the
magar wo pagal hawa ka jhonka magar wo pagal hawa ka jhonka
ajab musafir tha rahguzar tha
ki lamhe bhar mein guzar chuka tha
main be-numu aur be-samar tha
magar main aawaz ka safar tha
so meri aawaz ka ajar tha
ajab shajar tha
ajab shajar hun
ki aane wale sah kah raha hun
ai mere dil mein utarne wale
ai mujh ko shadab karne wale
tujhe meri raushni mubarak
tujhe meri zindagi mubarak
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.