numu
tumheñ ḳhabar hai
mire sirhāne ke bel-būToñ meñ
ik shagūfa nayā khilā hai
tumheñ ḳhabar hai
ki ḳhushk-sālī ke zard mausam meñ
phuul khilnā dalīl hai ki
maiñ apne ḳhvāboñ ko rehn rakh kar
tamām shab
ik aziyyat se kāTtī huuñ
ravish ravish ko sañvārtī huuñ
mujhe ye Dar hai
tumhārī yādoñ se merā rishta na TuuT jaa.e
kahīñ ye gulshan na suukh jaa.e
tumhein KHabar hai
mere sirhane ke bel-buTon mein
ek shagufa naya khila hai
tumhein KHabar hai
ki KHushk-sali ke zard mausam mein
phul khilna dalil hai ki
main apne KHwabon ko rehn rakh kar
tamam shab
ek aziyyat se kaTti hun
rawish rawish ko sanwarti hun
mujhe ye Dar hai
tumhaari yaadon se mera rishta na TuT jae
kahin ye gulshan na sukh jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.