nuqta-e-nau-gurez
ye tak paḌhī huī saarī kitābeñ
dekhī huī tamām duniyā balki duniyā.eñ
andar se bāhar ke tamām tajrabāt
maazī kā hissa haiñ
tārīḳh ban chuke haiñ
yahāñ se aage safar nayā hai bilkul nayā
kāġhaz korā hai bilkul korā
balki tamām kāġhaz kore haiñ bilkul kore
tahrīr muntazir hai
nuqta-e-āġhāz se balki mauhūm hai
hindsa-e-yakum hai balki sifar hai
harf alif hai
balki ik nayā alif hai
ye tak paDhi hui sari kitaben
dekhi hui tamam duniya balki duniyaen
andar se bahar ke tamam tajrabaat
mazi ka hissa hain
tariKH ban chuke hain
yahan se aage safar naya hai bilkul naya
kaghaz kora hai bilkul kora
balki tamam kaghaz kore hain bilkul kore
tahrir muntazir hai
nuqta-e-aghaz se balki mauhum hai
hindsa-e-yakum hai balki sifar hai
harf alif hai
balki ek naya alif hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.