nuqta
kahīñ se koī nuqta aisā aa jaa.e
jo kisī bhī lafz par na lagāyā jā sake
aur vo nuqta alaihada alag thalag khaḌā rahe
kisī bhī gumāñ ke sahāre
is intizār meñ
ki koī aisā lafz aa jaa.e
jis par use lagāyā jā sake
ye bhī ho saktā hai
vo nuqta sadiyoñ us lafz kā intizār kartā rahe
ye bhī ho saktā hai
sadhā saal guzar jaane ke baad
ye saare lafz bosīda ho jaa.eñ
gal saḌ kar tahlīl ho jaa.eñ
aur kuchh baaqī na rahe
sirf vo nuqta rahe
kahin se koi nuqta aisa aa jae
jo kisi bhi lafz par na lagaya ja sake
aur wo nuqta alaihada alag thalag khaDa rahe
kisi bhi guman ke sahaare
is intizar mein
ki koi aisa lafz aa jae
jis par use lagaya ja sake
ye bhi ho sakta hai
wo nuqta sadiyon us lafz ka intizar karta rahe
ye bhi ho sakta hai
sadha sal guzar jaane ke baad
ye sare lafz bosida ho jaen
gal saD kar tahlil ho jaen
aur kuchh baqi na rahe
sirf wo nuqta rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.