nuqush-e-mazi
nazar meñ shā.er ke phir rahā hai, harā-bharā pur-bahār jañgal
vo sub.h-e-rañgīñ, vo kaif-e-manzar, vo dāman-e-koh bindhiyā-chal
milī thī ik rañg-o-bū kī duniyā, tamām sahrā chaman chaman thā
magar vo jannat-nigāh vaadī bahār kā mustaqil vatan thā
khaḌā huā thā ġharīb shā.er, ḳhamosh sahra-e-rañg-o-bū meñ
machal rahī thī sahar kī doshīza shab ke āġhosh-e-ārzū meñ
hoñ chashm-e-āshiq meñ jaise āñsū, sitāre yuuñ jhilmilā rahe the
falak pe barham thī bazm-e-anjum, charāġh gul hote jā rahe the
tajalliyoñ kī falak se bārish thii, zulmat-e-shab bikhar rahī thī
ki sub.h kī sāñvlī hasīna nahā rahī thii, nikhar rahī thī
nadī meñ halkā sā thā tamavvuj kaheñ jise be-qarār ġhaflat
ki niiñd meñ jaise karvaTeñ le, javān, bad-mast-e-ḳhvāb aurat
havā jo shāna hilā rahī thii, to maujeñ hushiyār ho rahī thiiñ
tuyūr ke mast zamzamoñ se fazā.eñ bedār ho rahī thiiñ
ye kaifiyat thī aur ek jogan sitār baiThī bajā rahī thī
magar vo jañgal kī shāhzādī bahār ke giit gā rahī thī
bahār ke giit gā rahī thī fazā meñ naġhme bikhertī thī
sukūt fitrat kā daad detā thā ruḳh jidhar ko vo phertī thī
vo niiñd se muzmahil nigāheñ vo lab pe maġhmūm muskurāhaT
hazār andāz-e-dil-rubā.ī aur ek ma.asūm muskurāhaT
thiiñ niiñd se rasmasā.ī āñkheñ aur in meñ shoḳhī machal rahī thī
ḳhumār-ālūda añkhḌiyoñ meñ bahār kī ruuh pal rahī thī
qamar kī tal.at, shafaq kī surḳhī, jabīñ pe sub.h-e-bahār ḳhandāñ
nigāh ā.īna-dār-e-manzar, jamāl parvarda-e-byābāñ
sitār pe nāzuk uñgliyāñ thīñ, kalā.ī gorī lachak rahī thī
umañgeñ letī thiiñ dil meñ karvaT, rag-e-javānī phaḌak rahī thī
sunahre jalvoñ kī chhūT Daalī jo shāh-e-ḳhāvar ke tāj-e-zar ne
talā.ī afshāñ chunī jabīñ par malīh doshīza-e-sahar ne
talā.ī zevar se aur chamkī urūs-e-manzar kī dilrubā.ī
uThā jo sūraj to dhuup niklī hasīna-e-subh khilkilā.ī
fazā kī tabdīliyoñ ko dekhā jo bazm-e-fitrat kī mutriba ne
sitār rakkhā, uThā.ī gagrī, nadī kināre chalī nahāne
vo jā rahī thī nadī kī jānib maiñ lauT kar ghar ko aa rahā thā
sitār ḳhāmosh ho chukā thā magar ye dil gungunā rahā thā
zamāna guzrā nuqūsh-e-māzī ḳhayāl se miTte jā rahe haiñ
magar vo naġhme 'jamīl' ab tak dimāġh ko gudgudā rahe haiñ
nazar mein shaer ke phir raha hai, hara-bhara pur-bahaar jangal
wo subh-e-rangin, wo kaif-e-manzar, wo daman-e-koh bindhiya-chal
mili thi ek rang-o-bu ki duniya, tamam sahra chaman chaman tha
magar wo jannat-nigah wadi bahaar ka mustaqil watan tha
khaDa hua tha gharib shaer, KHamosh sahra-e-rang-o-bu mein
machal rahi thi sahar ki doshiza shab ke aaghosh-e-arzu mein
hon chashm-e-ashiq mein jaise aansu, sitare yun jhilmila rahe the
falak pe barham thi bazm-e-anjum, charagh gul hote ja rahe the
tajalliyon ki falak se barish thi, zulmat-e-shab bikhar rahi thi
ki subh ki sanwli hasina naha rahi thi, nikhar rahi thi
nadi mein halka sa tha tamawwuj kahen jise be-qarar ghaflat
ki nind mein jaise karwaTen le, jawan, bad-mast-e-KHwab aurat
hawa jo shana hila rahi thi, to maujen hushiyar ho rahi thin
tuyur ke mast zamzamon se fazaen bedar ho rahi thin
ye kaifiyat thi aur ek jogan sitar baiThi baja rahi thi
magar wo jangal ki shahzadi bahaar ke git ga rahi thi
bahaar ke git ga rahi thi faza mein naghme bikherti thi
sukut fitrat ka dad deta tha ruKH jidhar ko wo pherti thi
wo nind se muzmahil nigahen wo lab pe maghmum muskurahaT
hazar andaz-e-dil-rubai aur ek masum muskurahaT
thin nind se rasmasai aankhen aur in mein shoKHi machal rahi thi
KHumar-aluda ankhDiyon mein bahaar ki ruh pal rahi thi
qamar ki talat, shafaq ki surKHi, jabin pe subh-e-bahaar KHandan
nigah aaina-dar-e-manzar, jamal parwarda-e-byaban
sitar pe nazuk ungliyan thin, kalai gori lachak rahi thi
umangen leti thin dil mein karwaT, rag-e-jawani phaDak rahi thi
sunahre jalwon ki chhuT Dali jo shah-e-KHawar ke taj-e-zar ne
talai afshan chuni jabin par malih doshiza-e-sahar ne
talai zewar se aur chamki urus-e-manzar ki dilrubai
uTha jo suraj to dhup nikli hasina-e-subh khilkilai
faza ki tabdiliyon ko dekha jo bazm-e-fitrat ki mutriba ne
sitar rakkha, uThai gagri, nadi kinare chali nahane
wo ja rahi thi nadi ki jaanib main lauT kar ghar ko aa raha tha
sitar KHamosh ho chuka tha magar ye dil gunguna raha tha
zamana guzra nuqush-e-mazi KHayal se miTte ja rahe hain
magar wo naghme 'jamil' ab tak dimagh ko gudguda rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.