nurse
shahr ke haspatāl meñ us ko
ek hafta huā hai aa.e hue
''sāt number'' kā kaanā Thekedār
kāñptā thā jo dekh kar nashtar
us ke zaḳhmoñ pe aaj kal vo ḳhud
apne hāthoñ se phaa.e rakhtī hai
lañgDā budh-sen ''gyārah number'' kā
us kī āñkhoñ meñ Daal kar āñkheñ
ghūñT kaḌvī davā ke piitā hai
''pāñch number'' kā diq-zada shā.er
dekh kar us ko sher kahtā hai
ward ke kitne hī marīzoñ se
us ne va.ada kiyā hai shādī kā
ward ke kitne hī marīzoñ ko
tandurustī bahāl hone par
us ke ham-rāh ghar basānā hai!
shahr ke haspatal mein us ko
ek hafta hua hai aae hue
sat number ka kana Thekedar
kanpta tha jo dekh kar nashtar
us ke zaKHmon pe aaj kal wo KHud
apne hathon se phae rakhti hai
langDa budh-sen gyarah number ka
us ki aankhon mein Dal kar aankhen
ghunT kaDwi dawa ke pita hai
panch number ka diq-zada shaer
dekh kar us ko sher kahta hai
ward ke kitne hi marizon se
us ne wada kiya hai shadi ka
ward ke kitne hi marizon ko
tandurusti bahaal hone par
us ke ham-rah ghar basana hai!
- Book : Khala Ki Dhund Me.n Ham Chal Rahe hai.n (Pg. 86)
- Author : Aftab Shamsi
- Publication : Aftab Shamsi, Sharib Lodge, Khusro Bagh Road, Rampur-244901 (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.