nusKHe
agar tere me.ade meñ hai kuchh girānī
to lemū kā ras pī le adrak kā paanī
agar daañt ke dard se tū hai bekal
to sarsoñ kā tel aur sendhā namak mal
thakan se agar tere a.azā haiñ Dhīle
to thoḌā sā tū gungunā duudh pī le
gale meñ ḳharābī hai nazle ke maare
to namkīn paanī ke kar le ġharāre
agar ḳhuuñ hai kam aur balġham ziyāda
to gājar bhī khā aur shaljam ziyāda
jigar hī ke dam se hai insān jiitā
jigar kā maraz hai to khā le papītā
agar zehn kamzor rahtā hai aksar
to khā shahd ke saath bādām ghis kar
agar tujh ko ehsās hai zo.af-e-dil kā
to har roz le āñvle kā murabba
agar tere meade mein hai kuchh girani
to lemu ka ras pi le adrak ka pani
agar dant ke dard se tu hai bekal
to sarson ka tel aur sendha namak mal
thakan se agar tere aaza hain Dhile
to thoDa sa tu gunguna dudh pi le
gale mein KHarabi hai nazle ke mare
to namkin pani ke kar le gharare
agar KHun hai kam aur balgham ziyaada
to gajar bhi kha aur shaljam ziyaada
jigar hi ke dam se hai insan jita
jigar ka maraz hai to kha le papita
agar zehn kamzor rahta hai aksar
to kha shahd ke sath baadam ghis kar
agar tujh ko ehsas hai zoaf-e-dil ka
to har roz le aanwle ka murabba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.