nusrat fath ali KHan ke liye ek nazm
apnī pur-pech buland
aur dhīmī kashīda suroñ se ūñche
fat.h-nasīb ho tum
ḳhush-nasīb ho tum
ki apnī zindagī meñ
sab milā tum ko
sab se baḌh kar ye
ki ham ne izzat dī tumheñ
varna ham
ḳhair chhoḌo
ab jahāñ ho
āzādī se āzād sur lagānā
use kahnā
ham sirf us kī aas par zinda haiñ
us ke banā.e giit
faqat us ke liye gaate haiñ
ki shāyad hameñ bhī
ḳhush-nasīb kar de vo
fat.h-nasīb kar de vo
varna ham
ḳhair chhoḌo
apni pur-pech buland
aur dhimi kashida suron se unche
fath-nasib ho tum
KHush-nasib ho tum
ki apni zindagi mein
sab mila tum ko
sab se baDh kar ye
ki hum ne izzat di tumhein
warna hum
KHair chhoDo
ab jahan ho
aazadi se aazad sur lagana
use kahna
hum sirf us ki aas par zinda hain
us ke banae git
faqat us ke liye gate hain
ki shayad hamein bhi
KHush-nasib kar de wo
fath-nasib kar de wo
warna hum
KHair chhoDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.