nuh ke baad
nuqta-e-sifr par vaqt kā paañv thā
zad meñ sailāb kī jab har ik gaañv thā
nuuh ne apnī kashtī ko taḳhlīq kī
jumla anvā.a se bhar liyā
rub.a maskoñ ke sailāb par apnī kashtī liye
koh-e-jūdī kī choTī ko sar kar liyā
nuuh ke vāste jis parinde kī minqār meñ
barg-e-zaitūn thā
vo umīd-e-musalsal kā qānūn thā
ham jo kashtī se aur barg-e-zaitūn se
koh-e-jūdī se mahrūm haiñ
mubtalā ham ko is imtihāñ meñ kyā kis liye
itnī lāshoñ makānoñ ke malboñ
ukhaḌte daraḳhtoñ sisakte parindoñ
shikasta badan revḌoñ ko
kahāñ le ke jaa.eñ
ham to sailāb se qabl bhī
mustaqil ek sailāb kī zad meñ haiñ
bhuuk iflās bīmāriyāñ
zulm nādāriyāñ
bad-diyānat shaboñ kī siyah-kāriyāñ
ek pur-haul sailāb se kam nahīñ
gardish-e-roz-o-shab se nikalte hue
nuuh ne raah paalī thī jiine kī ḳhātir
aur tūfān bhī ruk gayā thā safīne kī ḳhātir
ab hamāre liye koī murkkab nahīñ
koī kashtī nahīñ
jis ke bal par kahīñ paar utar jaa.eñ ham
nuqta-e-sifr par vaqt ke paañv kī tarah
ik pal Thahar jaa.eñ ham
jab ye kuchh bhī mayassar nahīñ hai to phir
ham ko fitrat ke qānūn ab āzmāte haiñ kyuuñ
nuuh ke ba.ad tūfān aate haiñ kyuuñ
nuqta-e-sifr par waqt ka panw tha
zad mein sailab ki jab har ek ganw tha
nuh ne apni kashti ko taKHliq ki
jumla anwaa se bhar liya
ruba maskon ke sailab par apni kashti liye
koh-e-judi ki choTi ko sar kar liya
nuh ke waste jis parinde ki minqar mein
barg-e-zaitun tha
wo umid-e-musalsal ka qanun tha
hum jo kashti se aur barg-e-zaitun se
koh-e-judi se mahrum hain
mubtala hum ko is imtihan mein kya kis liye
itni lashon makanon ke malbon
ukhaDte daraKHton sisakte parindon
shikasta badan rewDon ko
kahan le ke jaen
hum to sailab se qabl bhi
mustaqil ek sailab ki zad mein hain
bhuk iflas bimariyan
zulm nadariyan
bad-diyanat shabon ki siyah-kariyan
ek pur-haul sailab se kam nahin
gardish-e-roz-o-shab se nikalte hue
nuh ne rah pali thi jine ki KHatir
aur tufan bhi ruk gaya tha safine ki KHatir
ab hamare liye koi murkkab nahin
koi kashti nahin
jis ke bal par kahin par utar jaen hum
nuqta-e-sifr par waqt ke panw ki tarah
ek pal Thahar jaen hum
jab ye kuchh bhi mayassar nahin hai to phir
hum ko fitrat ke qanun ab aazmate hain kyun
nuh ke baad tufan aate hain kyun
- Book : Asaleeb (Pg. 203)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.