nun-mim-rashid ke intiqal par
ye raat hai ki harf-o-hunar kā ziyāñ-kada
iz.hār apne-āp meñ mohmal hue tamām
ab maiñ huuñ aur lamha-e-lahūt kā safīr
mahv-e-duā huā mire andar koī faqīr
siine pe kaisā bojh hai hotā nahīñ subuk
hoñToñ ke zāviyoñ meñ phañsā hai ''ḳhudā...ḳhudā''
kyā lafz hai ki jiibh se hotā nahīñ adā
kamzor haath haiñ ki nahīñ uThte sū-e-bām
iz.hār apne aap meñ zaa.il hue tamām
sirf aañkh hai ki dekhtī hai chāñd nisf gol
ai ḳhāmushī kī shāḳh pe baiThe parind... bol
ye raat hai ki harf-o-hunar ka ziyan-kada
izhaar apne-ap mein mohmal hue tamam
ab main hun aur lamha-e-lahut ka safir
mahw-e-dua hua mere andar koi faqir
sine pe kaisa bojh hai hota nahin subuk
honTon ke zawiyon mein phansa hai KHudaKHuda
kya lafz hai ki jibh se hota nahin ada
kamzor hath hain ki nahin uThte su-e-baam
izhaar apne aap mein zail hue tamam
sirf aankh hai ki dekhti hai chand nisf gol
ai KHamushi ki shaKH pe baiThe parind bol
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 226)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.