nur-e-la-makan
ek qatra
nuur kā thā arsh kī qindīl meñ
ishq ne us ko banāyā ham-safar
sāmne thī ik sirāt-e-mustaqīm
aañkh meñ thiiñ husn kī ra.anā.iyāñ
lamha lamha
āsmānoñ se guzartā
fāsloñ ko zer kartā
husn kī manzil meñ aakar
ruk gayā vo
aur
jannat kā ujālā ban gayā
ek qatra
nur ka tha arsh ki qindil mein
ishq ne us ko banaya ham-safar
samne thi ek siraat-e-mustaqim
aankh mein thin husn ki ranaiyan
lamha lamha
aasmanon se guzarta
faslon ko zer karta
husn ki manzil mein aakar
ruk gaya wo
aur
jannat ka ujala ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.