Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nur-jahan ka mazar

Tilok Chand Mahroom

nur-jahan ka mazar

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    din ko bhī yahāñ shab siyāhī samāñ hai

    kahte haiñ ye ārām-gah-e-nūr-jahāñ hai

    muddat huī vo sham.a tah-e-ḳhāk nihāñ hai

    uThtā magar ab tak sar-e-marqad se dhuāñ hai

    jalvaoñ se ayaañ jin ke huā tuur aalam

    turbat pe hai un ke shab-e-daijūr aalam

    ai husn-e-jahāñ-soz kahāñ haiñ vo sharāre

    kis baaġh ke gul ho ga.e kis arsh ke taare

    kyā ban ga.e ab kirmak-e-shab-tāb vo saare

    har shaam chamakte haiñ jo raavī ke kināre

    ho ga.e vo daaġh jahāñgīr ke dil ke

    qābil to the āshiq-e-dil-gīr ke dil ke!

    tujh malika ke liye bāra-darī hai

    ġhālīcha sar-e-farsh hai koī na darī hai

    kyā ālam-e-bechārgī ai tāj-varī hai

    din ko yahīñ bisrām yahīñ shab-basrī hai

    aisī kisī jogan bhī kuTiyā nahīñ hotī

    hotī ho magar yuuñ sar-e-sahrā nahīñ hotī

    ta.avīz-e-lahad hai zabar o zer ye andher

    ye daur-e-zamāna ke ulaT pher ye andher

    āñgan meñ paḌe gard ke haiñ Dher ye andher

    ai gardish-e-ayyām ye andher! ye andher

    māh-e-falak-e-husn ko ye burj milā hai

    ai charḳh tire husn-e-navāzish gilā hai

    hasrat hai Tapaktī dar-o-dīvār se kyā kyā

    hotā hai asar dil pe in āsār se kyā kyā

    naale haiñ nikalte dil-afgār se kyā kyā

    uThte haiñ sharar aah sharbār se kyā

    ye ālam-e-tanhā.ī ye dariyā kinārā

    hai tujh hasīna ke liye nazārā

    chau-pā.e jo ghabrāte haiñ garmī se to aksar

    ārām liyā karte haiñ is rauze meñ aa kar

    aur shaam ko bālā.ī siyah ḳhānoñ se shappar

    uḌ uḌ ke lagāte haiñ dar-o-bām ke chakkar

    ma.amūr hai yuuñ mahfil-e-jānāñ na kisī

    ābād rahe gor-e-ġharībāñ na kisī

    ārāsta jin ke liye gulzār o chaman the

    jo nāzukī meñ daaġh dah-e-barg-e-saman the

    jo gul-ruḳh o gul-pairahan o ġhuncha-dahan the

    shādāb gul-e-tar se kahīñ jin ke badan the

    pazhmurda vo gul dab ke hue ḳhaak ke nīche

    ḳhvābīda haiñ ḳhār-o-ḳhas-o-ḳhāshāk ke nīche

    rahne ke liye diida o dil jin ke makāñ the

    jo paikar-e-hastī ke liye rūh-e-ravāñ the

    mahbūb-e-dil-ḳhulq the jāñ-baḳhsh-e-jahāñ the

    the yūsuf-e-sānī ki masīhā-e-zamāñ the

    jo kuchh the kabhī the magar ab kuchh bhī nahīñ haiñ

    TuuTe hue pinjar se paḌe zer-e-zamīñ haiñ

    duniyā ye anjām hai dekh ai dil-e-nādāñ

    haañ bhuul na jaa.e tujhe ye madfan-e-vīrāñ

    baaqī haiñ na vo baaġh na vo qasr na aivāñ

    ārām ke asbāb na vo aish ke sāmāñ

    TuuTā huā ik sāhil-e-rāvī pe makāñ hai

    din ko bhī jahāñ shab siyāhī samāñ hai

    din ko bhi yahan shab ki siyahi ka saman hai

    kahte hain ye aaram-gah-e-nur-jahan hai

    muddat hui wo shama tah-e-KHak nihan hai

    uThta magar ab tak sar-e-marqad se dhuan hai

    jalwaon se ayan jin ke hua tur ka aalam

    turbat pe hai un ke shab-e-daijur ka aalam

    ai husn-e-jahan-soz kahan hain wo sharare

    kis bagh ke gul ho gae kis arsh ke tare

    kya ban gae ab kirmak-e-shab-tab wo sare

    har sham chamakte hain jo rawi ke kinare

    ya ho gae wo dagh jahangir ke dil ke

    qabil hi to the aashiq-e-dil-gir ke dil ke!

    tujh si malika ke liye bara-dari hai

    ghaalicha sar-e-farsh hai koi na dari hai

    kya aalam-e-bechaargi ai taj-wari hai

    din ko yahin bisram yahin shab-basri hai

    aisi kisi jogan ki bhi kuTiya nahin hoti

    hoti ho magar yun sar-e-sahra nahin hoti

    tawiz-e-lahad hai zabar o zer ye andher

    ye daur-e-zamana ke ulaT pher ye andher

    aangan mein paDe gard ke hain Dher ye andher

    ai gardish-e-ayyam ye andher! ye andher

    mah-e-falak-e-husn ko ye burj mila hai

    ai charKH tere husn-e-nawazish ka gila hai

    hasrat hai Tapakti dar-o-diwar se kya kya

    hota hai asar dil pe in aasar se kya kya

    nale hain nikalte dil-afgar se kya kya

    uThte hain sharar aah sharbar se kya

    ye aalam-e-tanhai ye dariya ka kinara

    hai tujh si hasina ke liye hu ka nazara

    chau-pae jo ghabraate hain garmi se to aksar

    aaram liya karte hain is rauze mein aa kar

    aur sham ko baalai siyah KHanon se shappar

    uD uD ke lagate hain dar-o-baam ke chakkar

    mamur hai yun mahfil-e-jaanan na kisi ki

    aabaad rahe gor-e-ghariban na kisi ki

    aarasta jin ke liye gulzar o chaman the

    jo nazuki mein dagh dah-e-barg-e-saman the

    jo gul-ruKH o gul-pairahan o ghuncha-dahan the

    shadab gul-e-tar se kahin jin ke badan the

    pazhmurda wo gul dab ke hue KHak ke niche

    KHwabida hain KHar-o-KHas-o-KHashak ke niche

    rahne ke liye dida o dil jin ke makan the

    jo paikar-e-hasti ke liye ruh-e-rawan the

    mahbub-e-dil-KHulq the jaan-baKHsh-e-jahan the

    the yusuf-e-sani ki masiha-e-zaman the

    jo kuchh the kabhi the magar ab kuchh bhi nahin hain

    TuTe hue pinjar se paDe zer-e-zamin hain

    duniya ka ye anjam hai dekh ai dil-e-nadan

    han bhul na jae tujhe ye madfan-e-viran

    baqi hain na wo bagh na wo qasr na aiwan

    aaram ke asbab na wo aish ke saman

    TuTa hua ek sahil-e-rawi pe makan hai

    din ko bhi jahan shab ki siyahi ka saman hai

    Source :
    • Book : meri behtareen nazam (Pg. 37)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now