vo nau-ḳhez nuurā vo ik bint-e-maryam
vo maḳhmūr āñkheñ vo gesu-e-pur-ḳham
vo arz-e-kalīsā kī ik māh-pāra
vo dair-o-haram ke liye ik sharāra
vo firdaus-e-maryam kā ik ġhuncha-e-tar
vo taslīs kī duḳhtar-e-nek-aḳhtar
vo ik nurse thī chāra-gar jis ko kahiye
madāvā-e-dard-e-jigar jis ko kahiye
javānī se tiflī gale mil rahī thī
havā chal rahī thī kalī khil rahī thī
vo pur-ro.ab tevar vo shādāb chehra
matā-e-javānī pe fitrat kā pahra
mirī hukmarānī hai ahl-e-zamīñ par
ye tahrīr thā saaf us kī jabīñ par
safed aur shaffāf kapḌe pahan kar
mire paas aatī thī ik huur ban kar
vo ik āsmānī farishta thī goyā
ki andāz thā us meñ jibra.īl kā sā
vo ik marmarīñ huur ḳhuld-e-barīñ kī
vo ta.abīr aazar ke ḳhvāb-e-hasīñ kī
vo taskīn-e-dil thī sukūn-e-nazar thī
nigār-e-shafaq thī jamāl-e-nazar thī
vo sho.ala vo bijlī vo jalva vo partav
sulaimāñ kī vo ik kanīz-e-subuk-rau
kabhī us kī shoḳhī meñ sanjīdgī thī
kabhī us kī sanjīdgī meñ bhī shoḳhī
ghaḌī chup ghaḌī karne lagtī thī bāteñ
sirhāne mire kaaT detī thī rāteñ
ajab chiiz thī vo ajab raaz thī vo
kabhī soz thī vo kabhī saaz thī vo
naqāhat ke aalam meñ jab aañkh uThtī
nazar mujh ko aatī mohabbat kī devī
vo us vaqt ik paikar-e-nūr hotī
taḳhayyul kī parvāz se duur hotī
hañsātī thī mujh ko sulātī thī mujh ko
davā apne hāthoñ se mujh ko pilātī
ab achchhe ho har roz muzhda sunātī
sirhāne mire ek din sar jhukā.e
vo baiThī thī takiye pe kuhnī Tikā.e
ḳhayālāt-e-paiham meñ khoī huī sī
na jaagī huī sī na soī huī sī
jhapaktī huī baar baar us kī palkeñ
jabīñ par shikan be-qarār us kī palkeñ
vo āñkhoñ ke sāġhar chhalakte hue se
vo aariz ke sho.ale bhaḌakte hue se
laboñ meñ thā la.al-o-gohar kā ḳhazāna
nazar ārifāna adā rāhibāna
mahak gesuoñ se chalī aa rahī thī
mire har nafas meñ basī jā rahī thī
mujhe leTe leTe sharārat kī sūjhī
jo sūjhī bhī to kis qayāmat kī sūjhī
zarā baḌh ke kuchh aur gardan jhukā lī
lab-e-la.al-e-afshāñ se ik shai churā lī
vo shai jis ko ab kyā kahūñ kyā samajhiye
behisht-e-javānī kā tohfa samajhiye
sharāb-e-mohabbat kā ik jām-e-rañgīñ
subū-zār-e-fitrat kā ik jām-e-rañgīñ
maiñ samjhā thā shāyad bigaḌ jā.egī vo
havāoñ se laḌtī hai laḌ jā.egī vo
maiñ dekhūñgā us ke bipharne kā aalam
javānī kā ġhussa bikharne kā aalam
idhar dil meñ ik shor-e-mahshar bapā thā
magar us taraf rañg hī dūsrā thā
hañsī aur hañsī is tarah khilkhilā kar
ki sham-e-hayā rah ga.ī jhilmilā kar
nahīñ jāntī hai mirā naam tak vo
magar bhej detī hai paiġhām tak vo
ye paiġhām aate hī rahte haiñ akasr
ki kis roz aaoge bīmār ho kar
wo nau-KHez nura wo ek bint-e-maryam
wo maKHmur aankhen wo gesu-e-pur-KHam
wo arz-e-kalisa ki ek mah-para
wo dair-o-haram ke liye ek sharara
wo firdaus-e-maryam ka ek ghuncha-e-tar
wo taslis ki duKHtar-e-nek-aKHtar
wo ek nurse thi chaara-gar jis ko kahiye
madawa-e-dard-e-jigar jis ko kahiye
jawani se tifli gale mil rahi thi
hawa chal rahi thi kali khil rahi thi
wo pur-roab tewar wo shadab chehra
mata-e-jawani pe fitrat ka pahra
meri hukmarani hai ahl-e-zamin par
ye tahrir tha saf us ki jabin par
safed aur shaffaf kapDe pahan kar
mere pas aati thi ek hur ban kar
wo ek aasmani farishta thi goya
ki andaz tha us mein jibrail ka sa
wo ek marmarin hur KHuld-e-barin ki
wo tabir aazar ke KHwab-e-hasin ki
wo taskin-e-dil thi sukun-e-nazar thi
nigar-e-shafaq thi jamal-e-nazar thi
wo shoala wo bijli wo jalwa wo partaw
sulaiman ki wo ek kaniz-e-subuk-rau
kabhi us ki shoKHi mein sanjidgi thi
kabhi us ki sanjidgi mein bhi shoKHi
ghaDi chup ghaDi karne lagti thi baaten
sirhane mere kaT deti thi raaten
ajab chiz thi wo ajab raaz thi wo
kabhi soz thi wo kabhi saz thi wo
naqahat ke aalam mein jab aankh uThti
nazar mujh ko aati mohabbat ki dewi
wo us waqt ek paikar-e-nur hoti
taKHayyul ki parwaz se dur hoti
hansati thi mujh ko sulati thi mujh ko
dawa apne hathon se mujh ko pilati
ab achchhe ho har roz muzhda sunati
sirhane mere ek din sar jhukae
wo baiThi thi takiye pe kuhni Tikae
KHayalat-e-paiham mein khoi hui si
na jagi hui si na soi hui si
jhapakti hui bar bar us ki palken
jabin par shikan be-qarar us ki palken
wo aankhon ke saghar chhalakte hue se
wo aariz ke shoale bhaDakte hue se
labon mein tha lal-o-gohar ka KHazana
nazar aarifana ada rahibana
mahak gesuon se chali aa rahi thi
mere har nafas mein basi ja rahi thi
mujhe leTe leTe shararat ki sujhi
jo sujhi bhi to kis qayamat ki sujhi
zara baDh ke kuchh aur gardan jhuka li
lab-e-lal-e-afshan se ek shai chura li
wo shai jis ko ab kya kahun kya samajhiye
behisht-e-jawani ka tohfa samajhiye
sharab-e-mohabbat ka ek jam-e-rangin
subu-zar-e-fitrat ka ek jam-e-rangin
main samjha tha shayad bigaD jaegi wo
hawaon se laDti hai laD jaegi wo
main dekhunga us ke bipharne ka aalam
jawani ka ghussa bikharne ka aalam
idhar dil mein ek shor-e-mahshar bapa tha
magar us taraf rang hi dusra tha
hansi aur hansi is tarah khilkhila kar
ki sham-e-haya rah gai jhilmila kar
nahin jaanti hai mera nam tak wo
magar bhej deti hai paigham tak wo
ye paigham aate hi rahte hain akasr
ki kis roz aaoge bimar ho kar
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.