Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

o pas hone wale

Kaif Ahmed Siddiqui

o pas hone wale

Kaif Ahmed Siddiqui

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    Interesting Fact

    (شکیلؔ بدایونی سے معذرت کے ساتھ)

    o paas hone vaale ham ko bhī saath le le

    ham rah ga.e akele

    ik saath rah ke kaisā bachpan guzar rahā thā

    kitnī ḳhushī se apnā jīvan guzar rahā thā

    kis kaam ye paḌhnā jo dostī se khele

    o paas hone vaale ham ko bhī saath le le

    ham rah ga.e akele

    vo tere saath kar galiyoñ sair karnā

    schōl se nikal kar bāġhoñ sair karnā

    jab nahīñ to ab ham jaa.eñ kahāñ akele

    o paas hone vaale ham ko bhī saath le le

    ham rah ga.e akele

    vo khel khel meñ kuchh der ruuTh jaanā

    phir ek dūsre ko aapas meñ manānā

    ab kaun aa ke mujh se āḳhir vo khel khele

    o paas hone vaale ham ko bhī saath le le

    ham rah ga.e akele

    phir fail ho ga.e ham ab ghar ko kaise jaa.eñ

    kyā shakl le ke apne maañ baap ko dikhā.eñ

    chāroñ taraf lage haiñ nākāmiyoñ ke mele

    o paas hone vaale ham ko bhī saath le le

    ham rah ga.e akele

    o pas hone wale hum ko bhi sath le le

    hum rah gae akele

    ek sath rah ke kaisa bachpan guzar raha tha

    kitni KHushi se apna jiwan guzar raha tha

    kis kaam ka ye paDhna jo dosti se khele

    o pas hone wale hum ko bhi sath le le

    hum rah gae akele

    wo tere sath ja kar galiyon ki sair karna

    school se nikal kar baghon ki sair karna

    jab tu nahin to ab hum jaen kahan akele

    o pas hone wale hum ko bhi sath le le

    hum rah gae akele

    wo khel khel hi mein kuchh der ruTh jaana

    phir ek dusre ko aapas mein hi manana

    ab kaun aa ke mujh se aaKHir wo khel khele

    o pas hone wale hum ko bhi sath le le

    hum rah gae akele

    phir fail ho gae hum ab ghar ko kaise jaen

    kya shakl le ke apne man bap ko dikhaen

    chaaron taraf lage hain nakaamiyon ke mele

    o pas hone wale hum ko bhi sath le le

    hum rah gae akele

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now