octopus
maz.hab kā octopus
pakaḌ letā hai fard ko
us ke baazū phail jaate haiñ
har masām har uzv par
ye haavī ho jaatā hai
har har saañs par
ifrīt ban kar nigal letā hai
jazbāt ke reshmī thānoñ ko
masal kar rakh detā hai
dil-soḳhta kī har ḳhvāhish ko
sileñ rakh detā hai dil-e-nāzuk par
uupar se nīche tak
be-shumār be-hisāb
jo machle shikār us kā
aur saḳht ho jaatī hai
giraft us kī
zarā sī kushādgī bhī nahīñ bhātī us ko
mohabbat kī sādgī
kahāñ pasand aatī hai us ko
us kī qumchī har vaqt barasne ko tayyār hai
jazbāt ke khel meñ
fard kā ehsās
kyuuñ hai qābil-e-etirāz
mazhab ka octopus
pakaD leta hai fard ko
us ke bazu phail jate hain
har masam har uzw par
ye hawi ho jata hai
har har sans par
ifrit ban kar nigal leta hai
jazbaat ke reshmi thanon ko
masal kar rakh deta hai
dil-soKHta ki har KHwahish ko
silen rakh deta hai dil-e-nazuk par
upar se niche tak
be-shumar be-hisab
jo machle shikar us ka
aur saKHt ho jati hai
giraft us ki
zara si kushadgi bhi nahin bhati us ko
mohabbat ki sadgi
kahan pasand aati hai us ko
us ki qumchi har waqt barasne ko tayyar hai
jazbaat ke khel mein
fard ka ehsas
kyun hai qabil-e-etiraaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.