os se bhara gilass
vo phal hai ras-bharā
yā phal kī ras-bharī asaas hai
hai sab ke sāmne
yā ain darmiyān peḌ ke
chhupā huā hai biij kī tarah
laboñ ko kholtī huī
vo aam guftugū hai
yā laboñ ko seal kartā
ik muāmala-e-ḳhās hai
mirī tarah vo shād-kām hai
yā ḳhāndān vāloñ kī tarah udaas hai
vo aa gayā to ho ga.ī hai jāmunī fazā
yā aur hai koī
ki jis kā jāmunī libās hai
hai baaġh kī ravish
yā main-gate ke qarīb
lahlahātī ghaas hai
vo os hai
yā os se bharā paḌā gilass hai!!
wo phal hai ras-bhara
ya phal ki ras-bhari asas hai
hai sab ke samne
ya ain darmiyan peD ke
chhupa hua hai bij ki tarah
labon ko kholti hui
wo aam guftugu hai
ya labon ko seal karta
ek muamala-e-KHas hai
meri tarah wo shad-kaam hai
ya KHandan walon ki tarah udas hai
wo aa gaya to ho gai hai jamuni faza
ya aur hai koi
ki jis ka jamuni libas hai
hai bagh ki rawish
ya main-gate ke qarib
lahlahati ghas hai
wo os hai
ya os se bhara paDa gilass hai!!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 96)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.